Koi Pagal Hai Inka, Koi Inka Deewana Hai
Mere Banke Bihari Ka, Aashiq Yeh Zamana Hai
Yahi Raas Bihari Hai, Yahi Kunj Bihari Hai
Haridas Dulara Hai, Bada Hi Mastana Hai
Jab Murli Bajta Hai, Jab Raas Rachta Hai
Apna Yeh Bana Karke, Loot Leta Zamana Hai
Dilkash Adayen Han, Badi Tirchi Nigahen Han
Is Husn Ke Saqi Ki, Aankhen Maikhana Hai
Bhaktibharat Lyrics
Brajmandal Ka Rasiya, Shri Radha Man Basiya
Kahe ‘Bhaktibharat’ Ka to, Sabse Yarana Hai
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our
contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!