Naiya Majhdhar Meri Tuti Patwar Meri (नैया मझधार मेरी, टूटी पतवार मेरी: भजन)


Naiya Majhdhar Meri,
Tuti Patwar Meri,
Ban Ke Tu Manjhi,
Aaja Shyam Mere ॥
Ban Ke Sahara Mujhe,
Paar Utaar De,
Bigdi Ye Zindagani,
Isko Sanwar De,
Naiya Chalaun Kaise,
Paar Lagaun Kaise,
Ban Ke Tu Manjhi,
Aaja Shyam Mere ॥

Aata Nahin Hai Mujhko,
Toofan Se Khelna,
Vash Mein Nahin Hai Mere,
Hichkole Jhelna,
Aasha Tootegi Meri,
Naiya Doobegi Meri,
Ban Ke Tu Manjhi,
Aaja Shyam Mere ॥

Kar Ke Daya Mujhko,
Bhanwar Se Nikal De,
Banvari Naav Meri,
Kinare Pe Daal De,
Hoga Ehsaan Tera,
Karde Kalyaan Mera,
Ban Ke Tu Manjhi,
Aaja Shyam Mere ॥

Naiya Majhdhar Meri,
Tuti Patwar Meri,
Ban Ke Tu Manjhi,
Aaja Shyam Mere ॥
नैया मझधार मेरी, टूटी पतवार मेरी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
नैया मझधार मेरी, टूटी पतवार मेरी, बन के तू मांझी, आजा श्याम मेरे ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe, Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana । Jo Rookha Sookha Diya Hamen

Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani

Bada Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani. Bhakton Ki Lagi Hai Katar Bhawani.

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye