Namaskar Bhagwan Tumhe Bhakton Ka Barambar Ho (नमस्कार भगवन तुम्हें भक्तों का बारम्बार हो: भजन)


Namaskar Bhagwan Tumhen,
Bhakton Ka Barambar Ho,
Namaskar Bhagwan Tumhen,
Bhakton Ka Barambar Ho,
Shraddha Rupi Bhent Hamari,
Mangalmay Swikar Ho
Shraddha Rupi Bhent Hamari,
Mangalmay Swikar Ho ।
Tum Kan Kan Mein Base Hue Ho,
Tujh Mein Jagat Samaya Hai ।
Tinka Ho Chahe Parvat Ho,
Sabhi Tumhari Maya Hai ।
Tum Duniya Ke Har Prani Ke,
Jeevan Ke Aadhar Ho ।
Shraddha Rupi Bhent Hamari,
Mangalmay Swikar Ho ।

Namaskar Bhagwan Tumhen,
Bhakton Ka Barambar Ho,
Shraddha Rupi Bhent Hamari,
Mangalmay Swikar Ho ।

Sabke Sachche Pita Tumhi Ho,
Tumhi Jagat Ki Mata Ho ।
Bhai Bandhu Sakha Sahayak,
Rakshak Poshak Data Ho ।
Chinti Se Lekar Hathi Tak,
Sabke Sirjanhar Ho ।
Shraddha Rupi Bhent Hamari,
Mangalmay Swikar Ho ।

Namaskar Bhagwan Tumhen,
Bhakton Ka Barambar Ho,
Shraddha Rupi Bhent Hamari,
Mangalmay Swikar Ho ।

Rishi Muni Yogi Jan Sab,
Tumse Hi Var Pate Hain ।
Kya Raja Kya Rank Tumhare,
Dar Par Sheesh Jhukate Hain ।
Param Krupalu Param Dayalu,
Karuna Ke Aadhar Ho ।
Shraddha Rupi Bhent Hamari,
Mangalmay Swikar Ho ।

Namaskar Bhagwan Tumhen,
Bhakton Ka Barambar Ho,
Shraddha Rupi Bhent Hamari,
Mangalmay Swikar Ho ।

Toophanon Se Ghire Pathik Prabhu,
Tum Hi Ek Sahara Ho ।
Dagmag Dagmag Naiya Dole,
Tum Hi Nath Kinara Ho ।
Tum Kevat Ho Is Naiya Ke,
Aur Tum Hi Patvar Ho ।

Namaskar Bhagwan Tumhen,
Bhakton Ka Barambar Ho,
Shraddha Rupi Bhent Hamari,
Mangalmay Swikar Ho ।
- Arya Samaj Bhajan
नमस्कार भगवन तुम्हें भक्तों का बारम्बार हो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
नमस्कार भगवन तुम्हें, भक्तों का बारम्बार हो, श्रद्धा रुपी भेंट हमारी..
Bhajan Shri Krishna BhajanKhatushyam BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanArya Samaj BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism Bhajan

Other Popular Namaskar Bhagwan Tumhe Bhakton Ka Barambar Ho Video

By Sarala Dahiya And Neerja Dahiya

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Chalo Man Ganga Yamuna Teer

Ganga Jamuna Nirmal Paani, Sheetal Hot Sharir, Chalo Man Ganga Jamuna Teer...

Ganga Ke Kinare Chale Jana

mitadi Hai Moorat, Jindi Ye Vani Hai, ganga Kinare Chale Jana, mudke Phir Nahin Aana

Shiv Ki Jata Se Barse Ganga Ki Dhar Hai

Shiv Ki Jata Se Barase, Ganga Ki Dhar Hai, Ganga Ki Dhar hai, Mahina Ye Sawan Ka Hai,
Chae Bahar Hai ॥

Mano Toh Main Ganga Maa Hun

Mano to Main Ganga Maa Hun, Na Mano to Bahata Pani, Jo Swarg Ne Di Dharti Ko, Mein Hun Pyar Ki Vahi Nishani