O Maiya Tene Ka Thani Man Me (ओ मईया तैने का ठानी मन में - भजन)


O Maiya Taine Ka Thani Man Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein,
Deewani Taine Ka Thani Man Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥
Jadapi Bharat Tero Hi Jaayo,
Teri Karni Dekh Lajayo,
Apnon Pad Taine Aap Ganvayo,
Bharat Ki Najran Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥
hathili Taine Ka Thani Man Mein,
ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥

Mehal Chhod Vahan Nahin Re Madaiya,
Siya Sukumari,sang Dou Bhiya,
Kahu Vrksh Tar Bhijat Honge,
Teenon Mehan Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥
hathili Taine Ka Thaani Man Mein,
ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥

Kaushalya Ki Chhin Gayi Bani,
Roy Na Saki Urmil Deewani,
Kaikeyi Tu Bas Ek Hi Rani,
Rah Gayi Mahalan Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥
hathili Taine Ka Thani Man Mein,
ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥

O Maiya Taine Ka Thani Man Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein,
Deewani Taine Ka Thani Man Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥
ओ मईया तैने का ठानी मन में - भजन - हिन्दी में पढ़ें
ओ मईया तैने का ठानी मन में, राम-सिया भेज दये री बन में, दीवानी तैने का ठानी मन में...
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah BhajanRambhadracharya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Gopi Geet - Jayati Te Dhikam Janmana

Jayati Tedhikan Janmana Vrajah Shrayat Indira Shashvadatr Hi । Dayit Drshyatan Dikshu Tavaka Stvayi Dhrtasavastvan Vichinvate ॥

Daal Rahi Varmala Ab To Janaki

Daal Rahi Varmala Ab To Janaki, Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki, Phoolon Ki Barish Yaha Pe Ho Rahi, Krupa Ho Gae Aaj Shree Bhagvan Ki, Daal Rahi Varmala Ab To Janaki, Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki ॥

Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol

Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol, Mat Bhaiya Ko Rula Re Bol kuch Bol, Bhaiya Bhaiya Kaha Ke,Bhaiya Bhaiya Kaha Ke, Rash Prano mein Ghol, Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..