O Sanware Humko Tera Sahara Hai (भजन: ओ सांवरे हमको तेरा सहारा है)


O Sanware Humko Tera Sahara Hai,
Teri Rahmato Se Chalta,
Teri Rahmato Se Chalta Mera Gujara Hai,
O Sanware Humko Tera Sahara Hai ॥
Tumse Judi Hui Hai Meri Har Kahani,
Tere Bharose Baba Meri Jindgaani,
Tum Par Hi Nirbhar Baba,
Tum Par Hi Nirbhar Baba Jeevan Ye Sara Hai ,
O Sanware Humko Tera Sahara Hai ॥

Pita Ki Tarah Tumne Sikh Sikhai,
Maa Ki Tarah Tumne Mamta Lutai,
Meri Galatiyon Ko Baba,
Meri Galatiyon Ko Baba Sada Hi Bisara Hai,
O Sanware Humko Tera Sahara Hai ॥

Jeevan Ko Jabase Tumne Chhua Hai,
Har Ek Lamha Tab Se Sunhara Hua Hai,
Ek Ek Pal Ko Tumne,
Har Ek Pal Ko Tumne Pyar Se Savara Hai,
O Sanware Humko Tera Sahara Hai ॥

Rajni Ko Aap Jaisa Sathi Na Milega,
Banakar Jo Saya Harpal Saath Jo Chalega,
Sonu Kahe Koi Baba,
Sonu Kahe Koi Baba Tumsa Na Pyara Hai,
O Sanware Humko Tera Sahara Hai ॥

O Sanware Humko Tera Sahara Hai,
Teri Rahmato Se Chalta,
Teri Rahmato Se Chalta Mera Gujara Hai,
O Sanware Humko Tera Sahara Hai ॥
भजन: ओ सांवरे हमको तेरा सहारा है - हिन्दी में पढ़ें
ओ सांवरे हमको तेरा सहारा है, तेरी रहमतो से चलता, तेरी रहमतो से चलता मेरा गुजारा है..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanRajni Rajasthani BhajanFagan Mela Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥