Prabhu Ram Ka Sumiran Kar (प्रभु राम का सुमिरन कर - भजन)


Prabhu Ram Ka Sumiran Kar,
Har Duhkh Mit Jayega,
Yahi Ram Naam Tujhko,
Bhav Paar Lagayega ॥
Mithya Jag Mein Kabse,
Tu Pagle Raha Hai Dol,
Tu Inki Sharan Aakar,
Hathon Ko Jod Ke Bol,
Ye Daas Tumhara Ab,
Kaheen Aur Na Jayega,
Yahi Ram Naam Tujhko,
Bhav Paar Lagayega ॥

Kaisa Bhi Samay Aaye,
Kaisi Bhi Ghadi Aaye,
Sachche Hriday Se Jo,
Sumiran Inka Gaye,
Har Vipda Mein Uska,
Ye Sath Nibhayega,
Yahi Ram Naam Tujhko,
Bhav Paar Lagayega ॥

Kab Jaane Dhal Jaye,
Do Pal Ka Hai Jeevan,
Prabhu Ram Ke Charnon Mein,
Kar De Tu Kuchh Arpan,
Tere Sath Mein Bas Keval,
Yahi Naam Hi Jayega,
Yahi Ram Naam Tujhko,
Bhav Paar Lagayega ॥

Prabhu Ram Ka Sumiran Kar,
Har Duhkh Mit Jayega,
Yahi Ram Naam Tujhko,
Bhav Paar Lagayega ॥
प्रभु राम का सुमिरन कर - भजन - हिन्दी में पढ़ें
प्रभु राम का सुमिरन कर, हर दुःख मिट जाएगा, यही राम नाम तुझको, भव पार लगाएगा ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Katha BhajanAyodhya Dham Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Shri Krishna Govind Hare Murari

Shri Krshna Govind Hare Murari, He Nath Narayan Vasudeva॥ He Nath Narayan...

Krishna Bhajan

Famous Shri Krishna Bhajan for Janmashtami, Radhashtami, Holi, Bhagwat Katha, Gita Path, Kirtan, Bhajan Sandhya..

Nand Ke Anand Bhayo

Anand Umang Bhayo, Jay Ho Nand Lal Ki । Nand Ke Anand Bhayo, Jay Kanhiya Lal Ki

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..