Ram Navmi Suhani Manbhavni Ram Ji Ko Sang Leke Aayi (राम नवमी सुहानी मन भावनी, राम जी को संग लेके आई - भजन)


Ram Navmi Suhani Man Bhavni,
Ram Ji Ko Sang Leke Aai,
Ram Janam Par Dharti Ko Ambar,
Ram Janam Par Dharti Ko Ambar,
Bheje Re Bheje Badhai Badhai,
Chaitra Navami Kalyani Vardayani,
Ram Ji Ko Sang Leke Aai ॥
Hari Ne Nij Vachan Nibhaye,
Ve Suryavansh Mein Aaye,
Rath Soorya Dev Ne Roka,
Aur Aage Badh Na Paye,
Ek Mahine Raha Din Hi Din,
Ek Mahine Raha Din Hi Din,
Sandhya Padi Na Dikhai Dikhai,
Ram Navmeen Suhani Man Bhavni,
Ram Ji Ko Sang Leke Aai ॥

Bhaye Pragat Kripala Deendayala,
Kausalya Hitkari,
Harshit Mahatari Muni Man Haari,
Adbhut Roop Nihaari,
Kaushalya Dasharath Se Jag Ne,
Kaushalya Dasharath Se Jag Ne,
Divya Param Nidhi Pai Re Pai,
Chaitra Navami Kalyani Vardayani,
Ram Ji Ko Sang Leke Aai ॥

Baal Roop Ke Darshan Karne,
Shiv Ji Ayodhya Dham Padhare,
Ram Lala Ke Janmotsav Mein,
Devi Dev Jude Yahaan Saare,
Prabhu Sur Nar Muni Ke Bigde,
Sab Kaaj Sanwarne Aaye,
Bhoodevi Prasann Ke Bhagwan,
Mera Bhaar Utarne Aaye,
Naach Ke Gaake Teeno Loko Ne,
Naach Ke Gaake Teeno Loko Ne,
Navami Ki Mahima Gai Re Gai,
Ram Navmeen Suhani Man Bhavni,
Ram Ji Ko Sang Leke Aai,
Is Tithi Mein Jo Kaam Karo Vo,
Hota Shubhphal Shubhphaldayi,
Chaitra Navami Kalyani Vardayani,
Ram Ji Ko Sang Leke Aai ॥

Ram Navmi Suhani Man Bhavni,
Ram Ji Ko Sang Leke Aai,
Ram Janam Par Dharti Ko Ambar,
Ram Janam Par Dharti Ko Ambar,
Bheje Re Bheje Badhai Badhai,
Chaitra Navami Kalyani Vardayani,
Ram Ji Ko Sang Leke Aai ॥
राम नवमी सुहानी मन भावनी, राम जी को संग लेके आई - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम नवमी सुहानी मन भावनी, राम जी को संग लेके आई, राम जनम पर धरती को अम्बर, राम जनम पर धरती को अम्बर, भेजे रे भेजे बधाई बधाई, चैत्र नवमी कल्याणी वरदायनी, राम जी को संग लेके आई ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Katha BhajanAyodhya Dham Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Shri Hanuman-Balaji Bhajan

Famous Sri Hanuman-Balaji bhajans recitation in Sundarakand, Hanuman Jayanti, Tuesday Vrat, Saturday, Budhawa Mangal..

Krishna Bhajan

Famous Shri Krishna Bhajan for Janmashtami, Radhashtami, Holi, Bhagwat Katha, Gita Path, Kirtan, Bhajan Sandhya..