Ram Pe Jab Jab Vipada Aai (राम पे जब जब विपदा आई - भजन)


Ram Pe Jab Jab Vipada Aai,
Kaun Bana Rakhwala,Ram Pe Jab Jab Vipada Aai,
Kaun Bana Rakhwala,
Mera Bajrang Bala,
Mera Bajrang Bala ।

Maat Siya Ko Ram Prabhu Se,
Kaun Milane Wala,
Mera Bajrang Bala,
Mera Bajrang Bala ।

Jitne Bhi Kaam the Mushkil,
Bajrang Ke Hisse Aaye,
Hanumat Ke Siva Koi Bhi,
Sagar Ko Laangh Na Pae,
Ravan Ki Sone Ki Lanka,
Raavan Ki Sone Ki Lanka,
Kaun Jalane Wala,
Mera Bajrang Bala,
Mera Bajrang Bala ॥

Ram Pe Jab Jab Vipada Aai,
Kaun Bana Rakhwala,
Mera Bajrang Bala,
Mera Bajrang Bala ।

Shakti Lagi Lakshman Ko,
Aur Moorchha Bhari Chhayi
Dharti Pe Dekh Lakhan Ko,
Aur Rone Lage Raghurai,
Sanjeevan Lakar Ke Lakhan Ko,
Sanjeevan Lakar Ke Lakhan Ko,
Kaun Jagane Wala,
Mera Bajrang Bala,
Mera Bajrang Bala ॥

Ram Pe Jab Jab Vipada Aai,
Kaun Bana Rakhwala,
Mera Bajrang Bala,
Mera Bajrang Bala ।

Jo Hanuman Na Hote,
Na Hoti Ram Kahani,
Shree Ram Prabhu Ki Mahima,
Ghar Ghar Na Jati Bakhani,
Kahe Pavan Bhakti Ka Danka,
Kahe Pavan Bhakti Ka Danka,
Kaun Bajane Vala ,
Mera Bajrang Bala, Mera Bajrang Bala ॥

Vibhishan Taana Maare,
Bajrangi Sah Na Pae,
Bhakti Kisko Kahate Hai,
Yah Sabako Gyan Karaye,
Bhari Sabha Mein Chir Ke Sina,
Bhari Sabha Mein Chir Ke Sina,
Kaun Dikhane Wala,
Mera Bajrang Bala, Mera Bajrang Bala ॥

Ram Pe Jab Jab Vipada Aai,
Kaun Bana Rakhwala,
Mera Bajrang Bala, Mera Bajrang Bala,
Maat Siya Ko Ram Prabhu Se,
Kaun Milane Wala,
Mera Bajrang Bala, Mera Bajrang Bala ॥

हनुमान चालीसा | श्री हनुमान आरती | संकटमोचन अष्टक | बालाजी आरती | श्री राम स्तुति

◉ श्री हनुमंत लाल की पूजा आराधना में हनुमान चालीसा, बजरंग बाण और संकटमोचन अष्टक का पाठ बहुत ही प्रमुख माने जाते हैं।
राम पे जब जब विपदा आई - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम पे जब जब विपदा आई, कौन बना रखवाला, मेरा बजरंग बाला, मात सिया को राम प्रभु से..
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanMangalwar BhajanTuesday Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Hai Nam Re Sabse Bada Tera Nam

Kaal Ke Panje Se Mata Bachao, Jai Maan Asht Bhawani, Kaal Ke Panje Se Mata Bachao, Jai Maan Asht Bhawani...

Jaipur Se Layi Main Chunri

Jaipur Se Lai Main to, Chunri Rangvai Ke, Gota Kinari Apne...

Bheja Hai Bulava Tune Shera Waliye

Bheja Hai Bulava, Tune Shera Valie, O Maiya Tere Darbar | Mein Han Tere Deedar, Ki Main Aunga
Kabhi Na Phir Jaunga

Aisa Pyar Baha De Maiya

Ya Devi Aarva-Bhuteshu, Daya-Roopen Sansthita। Namastasye Namastasye Namastasye Namo Namah॥

Chausath Jogani Re Bhawani, Dewaliye Ramajay

Chausath Joganee Re Bhavaanee, Devaliye Ramajaay, Ghoomar Ghaalani Re Bhavaanee, Devaliye Ramajaay II