Sabri Ro Ro Tumhe Pukare (शबरी रो रो तुम्हे पुकारे - भजन)


Shabri Tumhari Baat Nihaare,
Vo to Rama Rama Pukare,
Kab Aaoge Mere Ram,
Shabri Ro Ro Tumhe Pukare,
Vo to Tumhari Baat Nihaare,
Jaldi Aa Jao Mere Ram,
Darsh Dikha Jao Mere Ram ॥
Mainne Choti Si Kutiya Ko,
Palkon Se Hai Buhara,
Saanjh Savere Mere Ram Ji,
Tumhara Rasta Nihaara,
Raaho Mein Teri Phool Bichhaye,
Baithi Kabse Aas Lagaye,
Tum Kab Aaoge Mere Ram,
Darsh Dikha Jao Mere Ram ॥

Mainne Suna Tumhare Charanon Ne,
Patthar Naari Banai,
Vahi Charan Meri Kutiya Mein,
Aan Dharo Raghurai,
Kevat Aur Nishaad Hai Taare,
Bhavsagar Se Paar Utare,
Vaise Mujhko Taro Ram,
Darsh Dikha Jao Mere Ram ॥

Mere Guru Ne Mujhe Bataya,
Bhaag Mere Jagenge,
Ek Din Ram Meri Kutiya Mein,
Darsh Dikha Jayenge,
Guruvar Ka Ye Vachan Na Tute,
Rama Meri Aas Na Chhute,
Dhal Na Jaye Jeevan Shaam,
Darsh Dikha Jao Mere Ram ॥

Shabri Ko Bhavsagar Tara,
Ram Kuti Mein Aaye,
Shabri Ke Jhoothe Bero Ka,
Ram Ji Bhog Lagaye,
Ram Ki Charan Dhooli Ko Uthaya,
Chandan Samajh Ke Tilak Lagaya,
Poorn Hua Dil Ka Armaan,
Shabri Pai Darash Abhiram,
Darsh Dikha Jao Mere Ram ॥

Shabri Tumhari Baat Nihaare,
Vo to Rama Rama Pukare,
Kab Aaoge Mere Ram,
Shabri Ro Ro Tumhe Pukare,
Vo to Tumhari Baat Nihaare,
Jaldi Aa Jao Mere Ram,
Darsh Dikha Jao Mere Ram ॥
शबरी रो रो तुम्हे पुकारे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
शबरी तुम्हरी बाट निहारे, वो तो रामा रामा पुकारे, कब आओगे मेरे राम, शबरी रो रो तुम्हे पुकारे, वो तो तुम्हरी बाट निहारे, जल्दी आ जाओ मेरे राम, दर्श दिखा जाओ मेरे राम ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Mangal Ki Sewa Sun Meri Deva

Mangal Ki Seva Sun Meri Deva, Hath Jod Tere Dwar Khade । Pan Supari Dhwja Nariyal,

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Tere Jeevan Main Khushiyan Tamam Aayegi

Tere Jeevan Main Khushiyan, Tamam Aayegi, Le Ja Maa Ki Duaye, Ye Kaam Ayegi, Le Ja Maa Ki Duaye,
Ye Kaam Ayegi ॥