Sada Shiv Sarva Var Data Digamber Ho To Aisa Ho (सदाशिव सर्व वरदाता, दिगम्बर हो तो ऐसा हो - भजन)


Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho ।
Hare Sab Duhkh Bhakton Ke,
Dayakar Ho to Aisa Ho ॥
Shikhar Kailash Ke Upar,
Kalpataruon Ki Chhaya Mein ।
Rame Nit Sang Girija Ke,
Ramandhar Ho to Aisa Ho ॥

Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho ।

Sheesh Par Gang Ki Dhara,
Suhae Bhal Par Lochan ।
Kala Mastak Pe Chanda Ki,
Manohar Ho to Aisa Ho ॥

Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho .

Bhayankar Jahar Jab Nikla,
Khirsagar Ke Manthan Se ।
Rakha Sab Kanth Mein Pikar,
Ki Vishdhar Ho to Aisa Ho ॥

Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho .

Siron Ko Kaatkar Apne,
Kiya Jab Hom Ravan Ne ।
Diya Sab Raaj Duniyan Ka,
Dilavar Ho to Aisa Ho ॥

Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho ।

Banae Beech Sagar Ke,
Teen Pur Daitya Sena Ne ।
Udae Ek Hi Shar Se,
Tripurhar Ho to Aisa Ho ॥

Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho ।

Devgan Daitya Nar Sare,
Japen Nit Naam Shankar Jo,
Vo Brahmanand Duniyan Mein,
Ujagar Ho to Aisa Ho ॥

Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho ।
Hare Sab Duhkh Bhakton Ke,
Dayakar Ho to Aisa Ho ॥
सदाशिव सर्व वरदाता, दिगम्बर हो तो ऐसा हो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
सदाशिव सर्व वरदाता, दिगम्बर हो तो ऐसा हो । हरे सब दुःख भक्तों के, दयाकर हो तो ऐसा हो ॥..
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aisi Bhakti Mahadev De Do Hame

Aisi Bhakti He Shambhu De Do Mujhe, Raat Din Main Bhajan Tere Gata Rahoon, Jaisa Bhi Aye Gam Jindagi Mein Magar, Do Vo Shakti Ki Main Muskurata Rahoon, Aisi Bhakti Mahadev De Do Humen, Raat Din Hum Bhajan Tere Gate Rahen ॥

Na Mann Hun Na Buddhi Na Chit Ahankar

Na Mann Hun, Na Buddhi, Na Chit Ahankar, Na Jivya Nayan Nasika Karan Dwar

Jis Kandhe Kawad Laun Main Aapke Liye

Jis Kandhe Kawad Laun, Main Aapke Liye, Wo Kandha Kaam Aaj Jaye, Maa Aur Baap Ke Liye, Wo Kandha Kaam Aaj Jaye, Maa Aur Baap Ke Liye ॥

Trikal Darshi Trilok Swami

Trikaalan Dhaari Trilok Swami, Tripund Dhaari Triakshayakumbak, Nrity Gaayan Kala Ke, Swami..

Shiv Ka Naam Lo

Shiv Ka Naam Lo । Har Sankat Mein Om Namo Shivay, Bas Yah Naam Japo ॥