Shiv Ka Damru Dam Dam Baje (शिव का डमरू डम डम बाजे - भजन)


Shiv Ka Damru Dam Dam Baje,
Toli Kavadiyon Ki Nache,
Kavadiyon Ki Nache,
Toli Kavadiyon Ki Nache,
Shiv Ka Damru Dam Dam Baje,
Toli Kavadiyon Ki Nache ॥
Koi Pahane Pile Vastr,
Koi Pahane Laal,
Dadhi Muchhen Badi Hue Hain,
Rukhe Sukhe Baal,
Shiv Bhole Ko Chale Manaane,
Nange Pairon Bhaage,
Shiv Ka Damru Dam Dam Baje,
Toli Kavadiyon Ki Nache ॥

Andhi Ave Pani Ave,
Chahe Dupahariya Bhari,
Jangal Ho Ya Pahad Ke Raste,
Paav Na Dhare Pichadi,
Kavad Lene Chale Hai Sare,
Log Lugae Bacche,
Shiv Ka Damru Dam Dam Baje,
Toli Kavadiyon Ki Nache ॥

Bhole Ji Ke Dhaam Chale Hai,
Ek Dusare Ke Sang Mein,
Haridwar Se Lekar Kavad,
Rang Gae Shiv Ke Rang Mein,
Sawan Ki Rut Aae Suhani,
Gaye Koi Nache,
Shiv Ka Damru Dam Dam Baje,
Toli Kavadiyon Ki Nache ॥

Gangaajal Shankar Ko Chadha Kar,
Bhagat Magan Hue Sare,
Haath Jod Kar Khade Kavariya,
Shiv Bhole Ke Dwar,
‘Aanand’ Gae Shiv Ke Bhajan,
Kavariye Milakar Naache,
Shiv Ka Damru Dam Dam Baje,
Toli Kavadiyon Ki Nache ॥

Shiv Ka Damru Dam Dam Baje,
Toli Kavadiyon Ki Nache,
Kavadiyon Ki Nache,
Toli Kavadiyon Ki Nache,
Shiv Ka Damru Dam Dam Baje,
Toli Kavadiyon Ki Nache ॥
शिव का डमरू डम डम बाजे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
शिव का डमरू डम डम बाजे, टोली कावड़ियों की नाचे, कावड़ियों की नाचे, टोली कावड़ियों की नाचे, शिव का डमरू डम डम बाजें, टोली कावड़ियों की नाचे।।
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Yahi Aasha Lekar Aati Hu

Yahi Asha Lekar Ati Hun, Har Bar Tumhare Mandir Mein, Kabhi Neh Ki Hogi Mujhpar Bhi Bauchhar...

Tum Asha Vishwas Hamare Bhajan

Naam Na Jane, Dham Na Jane, Jane Na Seva Pooja, Tum Asha Vishwas Hamare...

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

He Jag Trata Vishwa Vidhata

Hey Jag Trata Vishwa Vidhata, Hey Sukh Shanti Niketan He। Prem Ke Sindhu Deen Ke Bandho...

Krishna Bhajan

Famous Shri Krishna Bhajan for Janmashtami, Radhashtami, Holi, Bhagwat Katha, Gita Path, Kirtan, Bhajan Sandhya..