Shree Ganpati Maharaj Mangal Barsao (श्री गणपति महाराज, मंगल बरसाओ: भजन)


Shree Ganpati Maharaj,
Mangal Barsao,
Shiv Ji Ke Pyare,
Maiya Gaura Ke Dulare,
Devon Ke Sartaj,
Mangal Barsao,
Shree Ganpati Maharaj,
Mangal Barsao ॥
Pratham Gajanan Tumako Manaun,
Vinati Karun Kar Jod Ke Bulaun,
Saphal Kare Sab Kaj,
Mangal Barsao,
Shree Ganpati Maharaj,
Mangal Barsao ॥

Riddhi Aur Siddhi Donon Saath mein Lana,
Shubh Aur Labh Ko Bhul Na Jana,
Mushak Par Chadh Aaj,
Mangal Barsao,
Shree Ganpati Maharaj,
Mangal Barsao ॥

Pushpon Ke Haar Deva Tumhe Pahanaun,
Laadu Aur Modak Se Bhog Lagaun,
Dhup Deep Dharun Saj,
Mangal Barsao,
Shree Ganpati Maharaj,
Mangal Barsao ॥

Bhakt Tumhare Mil Mahima Gaate,
Madhur Madhur Deva Bhajan Sunate,
Dhol Mrudang Rahe Baaj,
Mangal Barsao,
Shree Ganpati Maharaj,
Mangal Barsao ॥

‘Amar’ Tumhare Hai Charanon Ka Chaakar,
Darash Prabhu Dikhala Do Dakar,
Rakhlo Hamari Laaj,
Mangal Barsao,
Shree Ganpati Maharaj,
Mangal Barsao ॥

Shree Ganpati Maharaj,
Mangal Barsao,
Shiv Ji Ke Pyare,
Maiya Gaura Ke Dulare,
Devon Ke Sartaj,
Mangal Barsao,
Shree Ganpati Maharaj,
Mangal Barsao ॥
श्री गणपति महाराज, मंगल बरसाओ: भजन - हिन्दी में पढ़ें
श्री गणपति महाराज, मंगल बरसाओ, शिव जी के प्यारे, मैया गौरा के दुलारे, देवों के सरताज, मंगल बरसाओ, श्रीं गणपति महाराज, मंगल बरसाओ ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Tarse Nazariya Vo

Sthai:- Tarase Nazariya Vo... Tarse Nazariya Vo... 2 De Darsan Ke Daan Vo Maiya, Tarse Nazariya Vo.. Chadh- Tor Muharan Ke Vo...Jhalak Dekhade Vo… ॥

Shri Ram Bhajan

Shri Ramchandra bhajan are sung and heard during the Akhand Ramayana, Sundarkand Path, Ramayana Path, Vijayadashami, Ram Navami, Bharat Milap and Ram Leela..