Shri Mahakal Aisa Vardan Do (श्री महाकाल ऐसा वरदान दो: भजन)


Shri Mahakal Aisa Vardan Do,
Gunagan Tumhara Sunata Rahun,
Sansar Mein jab Jab Janam Mile,
To Mahakal Nagari Mein Aata Rahun,
Shri Mahakal Aisa Vardan Do,
Gunagan Tumhara Sunata Rahun ॥
Kisi Bagiya Ki Dali Ka Phul Banu,
To Mahakal Nagari Mein Khilta Rahun,
Kinhi Haathon Se Toda Jaun Agar,
Shiv Mandir Main Khusbu Udata Rahun,
Shri Mahakal Aisa Vardan Do,
Gunagan Tumhara Sunata Rahun ॥

Sangemaramar Ka Koi Jo Patthar Banu,
To Mahakal Mandir Pe Sajata Rahun,
Koi Pani Se Muyjhko Dhoya Kare,
Shiv Mandir Ki Shobha Badhata Rahun,
Shri Mahakal Aisa Vardan Do,
Gunagan Tumhara Sunata Rahun ॥

Gar Sarp Ki Yoni Mein Jivan Mile,
Shivji Ke Gale Se Mein Lipta Rahun,
Aathon Yaam Hi Seva Karata Rahun,
Shiv Mastak Pe Phan Ko Phelata Rahun,
Shri Mahakal Aisa Vardan Do,
Gunagan Tumhara Sunata Rahun ॥

Gar Kshipra Salila Ka Pani Banu,
To Mahakal Nagari Mein Bahata Rahun,
Bhakt Bhar Bhar Ke Gagar Chadhate Rahe,
Mahakal Charan Dhulata Rahun,
Shri Mahakal Aisa Vardan Do,
Gunagan Tumhara Sunata Rahun ॥

Shiv Bhole Ke Pyale Ki Bhangiya Banu,
Shiv Honthon Se Mujhako Lagaya Kare,
Gar Bhole Ke haathon Ka Damaru Banu,
Shiv Haathon Se Dam Dam Bajaya kare,
Shiv Bhakto Pe Ashish Barse Sada,
Asi Arji Mein Shiv Se Lagata Rahun,
Shri Mahakal Aisa Vardan Do,
Gunagan Tumhara Sunata Rahun ॥

Jab Praan Pakheru Ye Udane Lage,
Is Taan Ko Mere Jab Jalane Lage,
Bhasm Bhole Ko Meri Chita Ki Lage,
Dhany Jivan Ko Apane Banata Rahun,
Shri Mahakal Aisa Vardan Do,
Gunagan Tumhara Sunata Rahun ॥

Shri Mahakal Aisa Vardan Do,
Gunagan Tumhara Sunata Rahun,
Sansar Mein jab Jab Janam Mile,
To Mahakal Nagari Mein Aata Rahun,
Shri Mahakal Aisa Vardan Do,
Gunagan Tumhara Sunata Rahun ॥
श्री महाकाल ऐसा वरदान दो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
श्री महाकाल ऐसा वरदान दो, गुणगान तुम्हारा सुनाता रहूं, संसार में जब जब जनम मिले, तो महाकाल नगरी में आता रहूं, श्री महाकाल ऐसा वरदान दों, गुणगान तुम्हारा सुनाता रहूं ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Shri Mahakal Aisa Vardan Do Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe, Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana । Jo Rookha Sookha Diya Hamen

Mujhe Dar Par Bula Le Ek Baar

Chitthi Likhi Hai Mainne, Ansuon Ki Syahi Se, Pahuncha Dena Sandesha Mera, Kisi Rahi Se।

Phool Dei, Chamma Dei Geet

Kya Kya Kamaya Humne, Aao Hisab Kar Le, Duniya Ki Baat Chhode, Apni Kitab Padh Le...