Surat Badi Hain Pyari Maa Ki (सूरत बड़ी है प्यारी माँ की: भजन)


Surat Badi Hain Pyari Maa Ki,
Murat Ki Kya Baat Hai,
Sar Par Sohe Mukut Sunhara,
Trishul Chakra Bhi Haath Hai,
Saj Dhaj Kar Bethi Hai Maiya,
Ajab Nirali Thath Hai,
Wah Wah Kya Baat Hai,
Wah Wah Kya Baat Hai ॥
Chabi Tumhari Asi Maiya,
Duji Koi Aur Nahi,
Tin Lok Tere Jesa,
Duja Maa Siramaur Nahin,
Laal Laal Mehendi Jwala Ji,
Rachi Tumhari Haath Hai,
Wah Wah Kya Baat Hai,
Wah Wah Kya Baat Hai ॥

Har Ek Roop Mein Pyari Lagti,
Sabka Chitta Churati Hai,
Bhakta Tumhara Bhajan Kare To,
Maan Hi Maan Muskati Ho,
Ambar Se Hoti Hai Tujhape,
Phoolon Ki Barsat Hai,
Wah Wah Kya Baat Hai,
Wah Wah Kya Baat Hai ॥

Aaj Tumhare Is Darshan Ko,
Sebak Tumhare Aaye Hai,
Chokhani Ke Tumane Hi To,
Bigde Kaj Banaye Hai,
Singh Sawari Karti Maiya,
Ajab Nirali Shaan Hai,
Wah Wah Kya Baat Hai,
Wah Wah Kya Baat Hai ॥

Surat Badi Hain Pyari Maa Ki,
Murat Ki Kya Baat Hai,
Sar Par Sohe Mukut Sunhara,
Trishul Chakra Bhi Haath Hai,
Saj Dhaj Kar Bethi Hai Maiya,
Ajab Nirali Thath Hai,
Wah Wah Kya Baat Hai,
Wah Wah Kya Baat Hai ॥
सूरत बड़ी है प्यारी माँ की: भजन - हिन्दी में पढ़ें
सूरत बड़ी है प्यारी माँ की, मूरत की क्या बात है, सर पर सोहे मुकुट सुनहरा, त्रिशूल चक्र भी हाथ है, सज धज कर बैठी हो मैया, अजब निराली ठाट है, वाह वाह क्या बात है, वाह वाह क्या बात है ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Durge Bhawani Tu Hi Kali Kalyani

Durge Bhawani Tu Hi Kali Kalyani, Teri Shakti Hai Aapar, Koi Paya Nhi Paar, Maiya Jagdambe, Jagdambe,
Durge Bhawani Tu Hi Kali Kalyani ॥

Darshan Ko Akhiyan Pyasi Hai, Kab Darshan Hoga Shyam Ghani

Darshan Ko Akhiyan Pyasi Hai, Kab Darshan Hoga Shyam Ghani, Mujh Nirdhan Ke Ghar Aangan Main,
Kab Avan Hoga Shyam Ghani, Darshan Ko Akhiyan Pyasi Hai, Kab Darshan Hoga Shyam Ghani ॥

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Are Re Meri Jaan Hai Radha

Are Re Meri Jaan Hain Radha, Tere Pe Qurban Main Radha, Rah Na Sakunga Tumse Door Main,