Tan Ranga Mera Mann Ranga (तन रंगा मेरा मन रंगा - भजन)


Tan Ranga Mera Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga,
Sita Ji Ke Rang Mein,
Ram Ji Rang Mein,
Raadheshyaam Ji Rang Mein,
Tan Ranga Menra Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga ॥
Odhi Hai Jabse Mainne Prem Ki Chunariya,
Sitaram Ratate Ratate Beete Ri Umariya,
Radheshyam Ratate Ratate Beete Ri Umariya,
Ram Ke Siva Na Koi,
Shyam Ke Siva Na Koi,
Soojhe Re Dagariya,
Tan Ranga Menra Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga ॥

Baanh Pakad Ke Meri De De Sahara,
Ram Prabhu Ji Mainne Tujhko Pukara,
Shyam Prabhu Ji Mainne Tujhko Pukara,
Teri Daya Se Mile,
Teri Kripa Se Mile,
Sabko Kinara,
Tan Ranga Menra Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga ॥

Paun Kahan Main Tujhko Kuch to Bata De,
Janam Maran Se Tu Mujhko Bacha Le,
Khud Ko Kiya Re Mainne Tere Hawale,
Tera Hi Roop Hoon Main,
Mera Hi Roop Hai Tu,
Khud Mein Chhipa Le,
Tan Ranga Menra Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga ॥

Teri Sharan Mein Aaya Aur Kahan Jaoon,
Tujhse Hi Bichhda Hoon Main Tujhme Samaoon,
Charanon Mein Dhaam Chaaron Yahin Sar Jhukaoon,
Yahi Mujhe Jeena Prabhu Ji,
Yahi Mujhe Jeena Prabhu Ji,
Yahi Mar Jaoon,
Tan Ranga Menra Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga ॥

Tan Ranga Mera Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga,
Sita Ji Ke Rang Mein,
Ram Ji Rang Mein,
Radheshyam Ji Rang Mein,
Tan Ranga Menra Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga ॥
तन रंगा मेरा मन रंगा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
तन रंगा मेरा मन रंगा, इस रंग में अंग अंग रंगा, सीता जी के रंग में, राम जी रंग में, राधेश्याम जी रंग में, तन रंगा मेंरा मन रंगा, इस रंग में अंग अंग रंगा ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Katha BhajanAyodhya Dham Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chalti Hai Saari Srishti Mahakal Ke Dar Se

Mere Mahakal Ki To Duniya Hi Dewani Hai, Banate Bigadi Sabaki Bhole Aughadadani Hai, Aasara Paaya Hai Krshna Ne Baba Tere Hi Dar Se, Mere Mahakal Ke Dar Se, Mere Mahakal Ke Dar Se ॥

Jogi Bhesh Dharkar Nandi Pe Chadhkar

Jogi Bhesh Dharkar Nandi Pe Chadhkar ॥

Shankar Ke Dware Chale Kavariya

Shankar Ke Dware Chale Kanwariya, Bhole Ke Pyare Chale Kanwariya

Main Beta Hun Mahakal Ka

Deewana Hun Mahakal Ka, Ujjain Ke Sarakar Ka, Bhole Baba Mere Hai, Main Beta hun Mahakal Ka, Deewana Hun Mahakal Ka, Ujjain Ke Sarakar Ka ॥

Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe

Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe । Shyama Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe ॥