Tera Pal Pal Beeta Jay Mukhse Japle Namah Shivay (तेरा पल पल बीता जाए - भजन)


Tera Pal Pal Beeta Jay,
Mukh Se Jap Le Namah Shivay ।
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ॥
Shiv Shiv Tum Hriday Se Bolo,
Man Mandir Ka Parda Kholo ।
Avsar Khali Na Jae,
Mukh Se Jap Le Namah Shivay ॥
॥ Tera Pal Pal Beeta Jae… ॥

Yah Duniya Panchhi Ka Mela,
Samjho Ud Jana Hai Akela ।
Tera Tan Yah Sath Na Jaay,
Mukh Se Jap Le Namah Shivay ॥
॥ Tera Pal Pal Beeta Jae… ॥

Musaphiri Jab Puri Hogi,
Chalne Ki Majburi Hogi ।
Tera Bigda Pran Rah Jaye,
Mukh Se Jap Le Namah Shivay ॥
॥ Tera Pal Pal Beeta Jae… ॥

Shiv Pujan Mein Mast Bane Ja
Bhakti Sudha Ras Pan Kiye Ja ।
Darshan Vishwanath Ke Paay,
Mukh Se Jap Le Namah Shivay ॥
॥ Tera Pal Pal Beeta Jae… ॥

Tera Pal Pal Beeta Jae,
Mukh Se Jap Le Namah Shivay ।
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ॥
तेरा पल पल बीता जाए - भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरा पल पल बीता जाए, मुख से जप ले नमः शिवाय। ॐ नमः शिवाय, ॐ नमः शिवाय...
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanMridul Shastri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥