Wada Kar Le Bholenath Chodoge Na Hath (वादा कर ले भोलेनाथ, छोड़ोगे ना हाथ - भजन)


Wada Karo Bholenath,
Chhodoge Na Haath,
Ye Sans Chalegi Jab Tak,
Ye Sans Chalegi Jab Tak,
Tu Rahega Mere Saath,
Wada Karo Bholenath,
Chhodoge Na Haath ॥
Isi Janam Ki Janu Baba,
Age Ka Kisne Dekha,
Teri Kirpa Rahe Jo Mujhpar,
Badle Janmmo Ki Rekha,
Ye Jivan Sudhar Gaya To,
Ye Jivan Sudhar Gaya To,
Karun Agle Janam Ki Baat,
Wada Karo Bholenath,
Chhodoge Na Haath ॥

Tera Saath Rahe To Baba,
Bhav Se Main Tar Jaunga,
Janam Maran Ke In Phande Se,
Mukti Main Paa Jaunga,
Bas Ek Dapha Tu Dhar De,
Bas Ek Dapha Tu Dhar De,
Teri Kirpa Ka Haath,
Wada Karo Bholenath,
Chhodoge Na Haath ॥

Ant Samay Saanso Ke Sur Mein,
Bhole Geet Tumhare Ho,
‘Harsh’ Meri Aankhon Ke Aage,
Tum Hi Mit Hamare ho,
Ye Jivan Saphal Bana Do,
Ye Jivan Saphal Bana Do,
Bas Itni Hai Phariyad,
Wada Karo Bholenath,
Chhodoge Na Haath ॥

Wada Karo Bholenath,
Chhodoge Na Haath,
Ye Sans Chalegi Jab Tak,
Ye Sans Chalegi Jab Tak,
Tu Rahega Mere Saath,
Wada Karo Bholenath,
Chhodoge Na Haath ॥
वादा कर ले भोलेनाथ, छोड़ोगे ना हाथ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
वादा कर ले भोलेनाथ, छोड़ोगे ना हाथ, ये साँस चलेगी जब तक, ये साँस चलेगी जब तक, तू रहेगा मेरे साथ, वादा कर लो भोलेनाथ, छोड़ोगे ना हाथ ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Bhajan: Ganga Behti Ho Kiyon

Kare Hahakar, Nihshabd Sada O Ganga Tum, Ganga Bahati Ho Kyun?

Chalo Man Ganga Yamuna Teer

Ganga Jamuna Nirmal Paani, Sheetal Hot Sharir, Chalo Man Ganga Jamuna Teer...

Ganga Ke Kinare Chale Jana

mitadi Hai Moorat, Jindi Ye Vani Hai, ganga Kinare Chale Jana, mudke Phir Nahin Aana

Shiv Ki Jata Se Barse Ganga Ki Dhar Hai

Shiv Ki Jata Se Barase, Ganga Ki Dhar Hai, Ganga Ki Dhar hai, Mahina Ye Sawan Ka Hai,
Chae Bahar Hai ॥