Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai (यदि नाथ का नाम दयानिधि है: भजन)


Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai,
To Daya Bhi Karenge Kabhi Na Kabhi,
Dukhhaari Hari, Dukhiya Jan Ke,
Dukh Klesh Haregen Kabhi Na Kabhi ॥
Jis Ang Ki Shobha Suhaavni Hai,
Jis Shyamal Rang Mein Mohani Hai,
Us Roop Sudha Se Snehiyon Ke,
Drg Pyaale Bharegen Kabhi Na Kabhi ॥

Jahaan Giddh Nishaad Ka Aadar Hai,
Jahaan Vyaadh Ajaamil Ka Ghar Hai,
Wahi Bhesh Banake Usi Ghar Mein,
Ham Ja Thaharegen Kabhi Na Kabhi ॥

Karunanidhi Naam Sunaya Jinhen,
Karnamrit Paan Karaya Jinhen,
Sarkaar Adaalat Mein Ye Gavaah,
Sabhi Gujaregen Kabhi Na Kabhi ॥

Ham Dwar Mein Aapke Aake Pade,
Muddat Se Isi Hai Jid Par Ade,
Bhav-sindhu Tare Jo Bade Se Bade,
To Ye ‘Bindu’ Taregen Kabhi Na Kabhi ॥

Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai,
To Daya Bhi Karenge Kabhi Na Kabhi,
Dukhhaari Hari, Dukhiya Jan Ke,
Dukh Klesh Haregen Kabhi Na Kabhi ॥
यदि नाथ का नाम दयानिधि है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
यदि नाथ का नाम दयानिधि है, तो दया भी करेंगे कभी ना कभी, दुखहारी हरी, दुखिया जन के, दुख क्लेश हरेगें कभी ना कभी ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Bhajan: Ganga Behti Ho Kiyon

Kare Hahakar, Nihshabd Sada O Ganga Tum, Ganga Bahati Ho Kyun?

Chalo Man Ganga Yamuna Teer

Ganga Jamuna Nirmal Paani, Sheetal Hot Sharir, Chalo Man Ganga Jamuna Teer...

Ganga Ke Kinare Chale Jana

mitadi Hai Moorat, Jindi Ye Vani Hai, ganga Kinare Chale Jana, mudke Phir Nahin Aana

Shiv Ki Jata Se Barse Ganga Ki Dhar Hai

Shiv Ki Jata Se Barase, Ganga Ki Dhar Hai, Ganga Ki Dhar hai, Mahina Ye Sawan Ka Hai,
Chae Bahar Hai ॥