Sawan 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj (जय जय शनि देव महाराज - भजन)


Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj
Jai Jai Shani Dev Maharaj,
Jan ke Sankat Harane Wale ।
Tum Surya Putra Balidhari,
Bhaya Maanat Duniya Saari ।
Sadhat Ho Durlabh Kaaj ॥
॥ Jai Jai Shani Dev Maharaj...॥

Tum Dharmraj Keb Bhai,
Jab Kroorta Pai ।
Ghan Garjan Karte Aawaz ॥
॥ Jai Jai Shani Dev Maharaj...॥

Tum Neel Deva Vikrali,
Hai Saanp Par Karat Sawari ।
Kar Louh Gada Rahe Saaj ॥
॥ Jai Jai Shani Dev Maharaj...॥

Tum Bhupati Rank Banao,
Nirdhan Swachhand Ghar Aayo ।
Sab Rat Ho Karan Mumtaj ॥
॥ Jai Jai Shani Dev Maharaj...॥

Raja Ko Raj Mitayo,
Nij Bhakt Pher Divayo ।
Jagat Mein Ho Gayi Jai Jaikar ॥
॥ Jai Jai Shani Dev Maharaj...॥

Tum Ho Swami Hum Charanan,
Sir Karat Namami Ji ।
Purna Ho Jana Jana Ki Aas ॥
॥ Jai Jai Shani Dev Maharaj...॥

Jahan Pooja Dev Tihari,
Karein Din Bhaav Te Pari ।
Angikrit Karo Kripal ॥
॥ Jai Jai Shani Dev Maharaj...॥

Kab Sudhi Drishti Niharo,
Chhamiya Aparadh Hamaro ।
Hai Haath Tihare Laj ॥
॥ Jai Jai Shani Dev Maharaj...॥

Hum Bahut Vipatti Ghabraye,
Sharanagat Tumhari Aaye ।
Prabhu Sidhhi Karo Sab Kaaj ॥
॥ Jai Jai Shani Dev Maharaj...॥

Yahan Vinay Kare Kar Jor Ke,
Bhakta Sunave Ji ।
Tum Devo Ke Sirtaj ॥
॥ Jai Jai Shani Dev Maharaj...॥

Jai Jai Shani Dev Maharaj,
Jan ke Sankat Harane Wale ।

जय जय शनि देव महाराज - भजन हिन्दी में पढ़ें

जय जय शनि देव महाराज, जन के संकट हरने वाले। तुम सूर्य पुत्र बलिधारी..
Read Also

Bhajan Shri Shani BhajanShani Dev BhajanShani Jayanti BhajanShanivar BhajanSaturday Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kisi Ke Kam Jo Aaye Use Insan Kahte Hai

Kisi Ke Kam Jo Aaye, Use Insan Kahte Hain । Paraya Dard Apnaye, Use Insan Kahte Hain ॥

Anmol Tera Jeevan Yuhi Ganwa Raha Hai

Anmol Tera Jeevan, Yun Hi Ganva Raha Hai, Kis Aur Teri Manjil...

Tulsa Kar Aai Chaaron Dham

Tulsa Kar Aai Charon Dham, Jane Kahan Legi Vishram । Pahala Vishram Vaane Haridwar Mein Payo..

Radha Ka Chitchor Kanhaiya

Radha Ka Chitchor Kanhaiya, Daooji Ka Natkhat Bhaiya, Kunj Galin Ka Raas Rachaiya, Bha Gaya Hamen Bha Gaya...

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein, Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon, Vaani Mein Tanik Mithas Nahin, Par Vinay Sunane Aayi Hoon ॥

Nit Nayo Lage Sanvaro

Nit Nayo Laage Saanvaro, Iki Leva Nazar Utaar, Najar Na Lag Jaavai, Eki Leva Nazar Utaar..

Baba Karle Tu Ithe Bhi Nazar Bhagat Koi Rota Hoyega

Baba Karle Tu Ithe Bhi Nazar, Bhagat Koi Rota Hovega, Aaya Hoga Haar Ke Vo Har Dagar, Aaya Hoga Haar Ke Vo Har Dagar, Bhagat Koi Rota Hovega, Baba Karlen Tu Ithe Bhi Nazar, Bhagat Koi Rota Hovega ॥

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP