दिवाली  2026 - Diwali 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga (भजन: अमृत बेला गया आलसी सो रहा बन आभागा !)


Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga
Bela Amrit Gaya,
Aalsi so Raha Ban Abhaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
Bela Amrit Gaya,
Aalsi so Raha, Ban Abhaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
Jholiyan Bhar Rahey Bhagya Wale,
Laakh Patito Ne Jeevan Sambhale,
Rank Raja Bane, Prabhu Ras Mein Sane, Kasht Bhaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
॥ Bela Amrit Gaya… ॥

Prabhu Kripa Se Nar Tan Yah Paaya,
Aalsi Bankar Yoon Hi Ganvaya
Ulti Ho Gai Mati,
Kar Li Apni Chhati, Chola Tyaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
॥ Bela Amrit Gaya… ॥

Swas Ek Ek Anmol Beeta,
Amrit Ke Badle Vish Ko Tu Peeta,
Sauda Ghaate Ka Kar,
Hath Mathe Pe Dhar, Rone Laga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
॥ Bela Amrit Gaya… ॥

Manav Kuchh Bhi Na Tune Bichara,
Shir Se Rishiyo Ka Rinn Na Utara,
Guru Ka Naam Na Liya,
Ganda Pani Peeya, Ban Ke Kaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
॥ Bela Amrit Gaya… ॥

Bela Amrit Gaya,
Aalsi so Raha, Ban Abhaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,

भजन: अमृत बेला गया आलसी सो रहा बन आभागा ! हिन्दी में पढ़ें

बेला अमृत गया, आलसी सो रहा, बन आभागा, साथी सारे जगे, तू न जागा...
Read Also

Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya BhajanGuru Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Ramdoot Mahavir Hanuman Sweekaro

Ramdoot Mahavir Hanuman, Swikaro Mere Koti Pranam, Aas Lagi Tori Kirpa Nidhan,..

Bajrangi Tera Sota Kamal

Bajarangi Tera Sota Kamal, Machai Jag Mein Baba Dhamal, Ram Gun Gayenge Kasta Mit Jayenge ॥

Maan Mandir Mein Ram Hona Chahiye

Juba Pe Ram Ka Naam Hona Chahiye, Maan Mandir Mein Ram Hona Chahiye, Maan Mandir Mein Ram Hona Chahiye ॥

Jagmag Hui Ayodhya Nagari Sant Kare Gungan

Ratan Sinhasan Ram Virajen, Aae Ghadi Mahan, Dhumdham Se Abadhapuri Main,
Ho Mandir Nirman, Ankhiyan Taras Gae Sadiyon Se, Jhume Sakal Jahaan, Jagmag Hui Ayodhya Nagari,
Sant Kare Gungan ॥

Saanjh Savere Nain Bicha Ke Rah Taku Raghunandan Ki

Saanjh Savere Nain Bichha Ke, Rah Taku Raghunandan Ki, Ram Ayenge Jag Jayegi..

Jab Ayodhya Mein Janm Liya Ram Ne

Raja Dasharath Kaushalya, Ke Ghar Mein Khushi, Jab Ayodhya Mein Janm, Liya Ram Ne,
Chaitr Mahine Ki Vo Thi, Suhani Ghadi, Chaitr Navami Ko Janm, Liya Ram Ne, Raja Dasharath Kaushalya, Ke Ghar Mein Khushi, Jab Ayodhya Mein Janm, Liya Ram Ne ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP