Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Bhajan: Duniya Banane Wale Mahima Teri Nirali (दुनिया बनाने वाले महिमा तेरी निराली - भजन)


Bhajan: Duniya Banane Wale Mahima Teri Nirali
Duniya Banane Wale Mahima Teri Nirali ।
Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।
Uche Shikhar Giri Ke Aakash Chumte Hain ।
Vrkshon Ke Jhuramute Bhi Vayu Mein Jhumte Hain ।
Saritaen Bahati Kal Kal Sheetal Se Neer Wali ।
Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।
॥ Duniya Banane Wale… ॥

Kahi Vrksh Hai Rasile Kahi Jhaad Hai Katile ।
Kahi Ret Ke Hai Tile Sarovar Kahi Hai Neele ।
Ye Aasman Dekho Kaisi Saji Diwali ।
Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।
॥ Duniya Banane Wale… ॥

Sab Praniyon Ke Jag Mein Tune Banae Jode ।
Durjan Adhik Banae Sajjan Banae Thode ।
Ghode Banae Tune Sinh Hathi Shaktishaali ।
Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।
॥ Duniya Banane Wale… ॥

Jugnu Ki Doom Mein Tune Kaisa Balb Lagaya ।
Barsaat Ki Nishan Mein Jangal Hai Jagmagaya ।
Bijli Chamak Hai Kaisi Ghan Ki Ghata Hai Kali ।
Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।
॥ Duniya Banane Wale… ॥

Sansar Ki Nadi Sab Sagar Mein Ja Rahi Hain ।
Sagar Ki Tarangen Bhi Gun Tere Hi Ga Rahi Hain ।
Is Vishv Vatika Ka Keval Prabhu Hai Mali ।
Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।
॥ Duniya Banane Wale… ॥

Bachche Kisi Pe Darjan Tukdo Ke Bhi Hain Lale ।
Santan Bin Kisi Ke Ghar Pe Lage Hain Tale ।
Yunaan Ka Sikandar Gaya Karke Haath Khaali ।
॥ Duniya Banane Wale… ॥

Aavagaman Ka Dekho Kaisa Ye Silsila Hai ।
The Karm Jiske Jaise Vaisa Hi Phal Mila Hai ।
Angoor Kaise Milte Boi Thi Jab Nimboli ।
Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।
॥ Duniya Banane Wale… ॥

Phoolo Ka Choos Ke Ras Kaisa Madhu Banae ।
Madhumakkhi Mein Tune Kya Yantr Hain Lagae ।
Madhu Sabke Man Ko Hai Bhay Chahe Lala Ho Ya Lali ।
Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।
॥ Duniya Banane Wale… ॥

Patto Ko Khake Keeda Resham Bana Raha Hai ।
Hai Kaun Jo Udar Mein Charkha Chala Raha Hai ।
Bun Bun Ke Aa Raha Hai Resham Ka Lachchha Jali ।
Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।
॥ Duniya Banane Wale… ॥

Barsat Ke Dinon Mein Lentar Tapkate Dekha ।
Baiye Ke Ghosale Mein Pai Na Jal Ki Rekha ।
Kya Takniki Sikhai Tune He Shilp Shali ।
Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।
॥ Duniya Banane Wale… ॥

Duniya Banane Wale Mahima Teri Nirali ।
Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।

दुनिया बनाने वाले महिमा तेरी निराली - भजन हिन्दी में पढ़ें

दुनिया बनाने वाले महिमा तेरी निराली। चन्दा बनाया शीतल सूरज में आग डाली। ऊँचे शिखर गिरी के आकाश चूमते हैं...
Read Also

Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya Bhajan

Other Popular Bhajan: Duniya Banane Wale Mahima Teri Nirali Video

Mithilesh Shashtri

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shri Ram Jay Ram Jay Jay Ram Dhun

Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram, Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram..

Jal Jaaye Jihwa Papini, Ram Ke Bina

Ram Bina Nar Aise Jaise, Ashv Lagaam Bina । Jal Jaaye Jihwa Papini

Ram Tum Bade Dayalu Ho

Ram Tum Bade Dayalu Ho, Nath Tum Bade Dayalu Ho, Hari Ji Tum Bade Dayalu Ho ॥

Janaki Stuti - Bhai Pragat Kumari

Bhai Pragat Kumari Bhoomi-vidari Jan Hitkari Bhayhari । Atulit Chhabi Bhari

Sita Sita Sita Ram Gaiye

Sita Sita Sita Ram Gaiye, Chahe, Radhe Radhe Radhe Shyam Gaiye, Sita Ram Gaiye

Namami Bhakt Vatsalan

Namami Bhakt Vatsalan । Krpalu Sheel Komlan ॥ Bhajami Te Padambujan ।

Ram Japate Raho, Kam Karte Raho

Ram Japte Raho, Kam Karte Raho । Waqt Jeevan Ka, Yunhi Nikal Jayega ।

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP