Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Banke Bihari Ki Dekh Chhata (बांके बिहारी की देख छटा - भजन)


Banke Bihari Ki Dekh Chhata
Banke Bihari Ki Dekh Chhata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata ।
Kab Se Khojun Banvari Ko,
Banvari Ko, Giridhari Ko ।
Koi Bata De Uska Pata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata ॥
॥ Banke Bihari Ki Dekh Chhata… ॥

Mor Mukut Shyamal Tan Dhari,
Kar Murli Adhran Saji Pyari ।
Kamar Mein Bande Peela Pata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata ॥
॥ Banke Bihari Ki Dekh Chhata… ॥

Paniya Bharan Yamuna Tat Aai,
Beech Mein Mil Gaye Krishn Kanhai ।
Phod Diyo Pani Ko Ghata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata.
॥ Banke Bihari Ki Dekh Chhata… ॥

Tedi Nazaren Lat Ghunghrali,
Maar Rahi Mere Dil Pe Katari ।
Aur Shyam Varan Jaise Kari Ghata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata ॥
॥ Banke Bihari Ki Dekh Chhata… ॥

Milte Hain Use Banke Bihari,
Banke Bihari, Saneh Bihari ।
Radhe Radhe Jis Ne Rata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata ॥
॥ Banke Bihari Ki Dekh Chhata… ॥

Banke Bihari Ki Dekh Chhata,
Mero Man Hai Gayo Lata Pata ।

बांके बिहारी की देख छटा - भजन हिन्दी में पढ़ें

बांके बिहारी की देख छटा, मेरो मन है गयो लटा पटा। कब से खोजूं बनवारी को...
Read Also

Bhajan Shri Krishna BhajanJanmashtami Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Prabhu Sweekaro Mere Paranam

Sukh-varan Prabhu, Narayan Hai! Sweekaro Mere Pranaam

Dekh Liya Sansar Hamne Dekh Liya

Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya, Sab Matlab Ke Yaar Humne Dekh Liya |

Kab Darshan Denge Ram Param Hitkari

Kab Darshan Denge Ram Param Hitkari Kab Darshan Denge Ram Din Hitkari, Rasta Dekhat Shabari Ki Umr Gayi Sari

Ek Bar Jo Raghubar Ki Nazron Ka

Ek Baar Jo Raghubar Ki, Najro Ka Ishara Ho Jaye, Teri Lagan Mein Kho Jaoon Main, Duniya Se Kinara Ho Jaye ॥

Mere Ram Itni Kripa Karna Beete Jeevan Tere Charno Me

Mere Ram Itni Kirpa Karna, Beete Jeevan Tere Charnon Mein ॥

Rajiv Lochan Ram Aaj Apne Ghar Aaye

Rajeev Lochan Ram, Aaj Apne Ghar Aaye, Kan Kan Pulakit, Purjan Harshit, Nagar Gao Sab Bajan Badhai, Rajeev Lochan Ram, Aaj Apne Ghar Aaye ॥

Paap Bad Gaya Hai Kuch To Kaam Kijiye

Paap Bad Gaya Hai, Kuch To Kaam Kijiye, Roj Roj Ram Ji Ka, Naam Lijiye ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP