Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Banke Bihari Mujhko Dena Sahara (बांके बिहारी मुझको देना सहारा!)


Banke Bihari Mujhko Dena Sahara
Banke Bihari Mujhe Dena Sahara,
Kahin Chhut Jaye Na Daman Tumhara ॥
Tere Siva Dil Mein Samaye Na Koi,
Lagan Ka Yah Dipak Bhujaye Na Koi,
Tu Hi Meri Kasti Tu Hi Hai Kinara,
Kahin Chhut Jaye Na Daman Tumhara ।
॥ Banke Bihari Mujhe Dena Sahara… ॥

Tere Raste Se Hatati Hai Duniya,
Isharon Se Mujhko Bhulati Hai Duniya,
Dekho Na Hargij Main Duniya Ka Ishara
Kahin Chhut Jaye Na Daman Tumhara ।
॥ Banke Bihari Mujhe Dena Sahara… ॥

Tere Naam Ka Gaan Gata Rahun Main,
Subah Sham Tujhko Rijhata Rahun Main,
Tera Naam Mujhko Hai Pranon Se Pyara,
Kahin Chhut Jaye Na Daman Tumhara ।
॥ Banke Bihari Mujhe Dena Sahara… ॥

Badi Bhul Ki Jo Main Duniya Mein Aaya,
Mul Bhi Khoya Aur Byaj Bhi Khoya,
Duniya Mein Mujhko Na Bhejo Na Dobara
Kahin Chhut Jaye Na Daman Tumhara ।
॥ Banke Bihari Mujhe Dena Sahara… ॥

Banke Bihari Mujhe Dena Sahara,
Kahin Chhut Jaye Na Daman Tumhara ॥

बांके बिहारी मुझको देना सहारा! हिन्दी में पढ़ें

बांके बिहारी मुझे देना सहारा, कहीं छूट जाए ना दामन तुम्हारा॥ तेरे सिवा दिल में समाए ना कोई...
 
 
Read Also

Bhajan Shri Krishna BhajanJanmashtami BhajanSadhvi Purnima Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jagannath Chakka Nain Nilachal Vare

Jagannath Chakka Nain Neelachal Vare, Jagannath, Jagannath, Chaka Nain, Chaka Nain

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Re

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Rai, Yo Khati Ka Chhaura Baba Tera Ho Gya Sai..

Michha Duniare Gotie Sata Jagannatha

Micha Duniare Gotie Sata (2), Jagannatha Se Mo jagannath (2)

Jai Jagannath Hamen Rahana Aapke Charanon Me

Shubh Shubh Din Aaya Shubh Ghadi, Jay Jagannath Se Goonja Aasmaan , Use Chaaron Dham Ka Punya Mila, Jo Karke Poorn Teri Parikrama

Jai Jai Jagannath Jag Ke Nath

Jay Jay Jagannath Jag Ke Nath, Hum Tumhen Bhajte Hain Din Raat, Jinka Na Koi Tum Unke Sath, Hum Tumhen Bhajte Hain Din Raat

Koi Lakh Kare Chaturayi

Koi Lakh Kare Chaturayi, Karam Ka Lekh Mite Na Re Bhai, Jara Samjho Iski Sachchai Re |

Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga

Bela Amrit Gaya, Aalsi so Raha, Ban Abhaga, Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga...

Durga Chalisa - Durga Chalisa
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP