Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Bhakti Ka Deep Man Me Jalaye Rakhna (भक्ति का दीप मन में जलाये रखना: भजन)


Bhakti Ka Deep Man Me Jalaye Rakhna
Bhakti Ka Deep Man Mein Jalaye Rakhna,
Prabhu Charanon Mein Mujhko Bithaye Rakhna,
Bhakti Ka Deep Man Mein Jalaye Rakhna ॥
Mere Naino Ko Darshan Tumhara Mile,
Mere Prano Ke Tera Sahara Mile,
Apni Mamta Ka Amrt Lutaye Rakhna,
Prabhu Charanon Mein Mujhko Bithaye Rakhna,
Bhakti Ka Deep Man Mein Jalaye Rakhna ॥

Mere Swami Tere Pag Bahati Rahoon,
Bhakti Pooja Se Tumko Rijhaati Rahoon,
Apni Seva Mein Mujhko Lagaye Rakhna,
Prabhu Charanon Mein Mujhko Bithaye Rakhna,
Bhakti Ka Deep Man Mein Jalaye Rakhna ॥

Mere Prabhu Geet Tere Hi Gaati Rahoon,
Apne Jeevan Ko Paavan Banaati Rahoon,
Meri Bhoolon Ko Har Dam Bhulaye Rakhna,
Prabhu Charanon Mein Mujhko Bithaye Rakhna,
Bhakti Ka Deep Man Mein Jalaye Rakhna ॥

Bhakti Ka Deep Man Mein Jalaye Rakhna,
Prabhu Charanon Mein Mujhko Bithaye Rakhna,
Bhakti Ka Deep Man Mein Jalaye Rakhna ॥

भक्ति का दीप मन में जलाये रखना: भजन हिन्दी में पढ़ें

भक्ति का दीप मन में जलाये रखना, प्रभु चरणों में मुझको बिठाये रखना, भक्ति का दीप मन में जलाए रखना ॥
Read Also

Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Tujhko Jeevan Mila Hai Anmol

Shubh Karmo Ka Khata Khol, O Bande, Radhe Radhe Bol, Tujhko Jeevan Mila Han, Anmol, O Bande, Radhe Radhe Bol।

Rakho Hath Dhal Talwar Majbuti Jagdamba

Rakho Hath Dhal Talwar Muth Majbuti, Muth Majbuti E Dharde Re Jagdamba, Raajputon Mein Majbuti...

Thari Chakari Karungo Din Raat Banalyo Mhane Chakariyo

Thari Chakari Karungo Din Raat, Banalyo Mhaane Chaakriyo, Thaari Seva Karungo Din Raat, Banalyo Mhaane Chaakriyo, Chaakriyo E Dadi Sevkiyo, Thaaran Gun Gaoon Din Raat, Banalyo Mhaane Chaakriyo ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP