Sawan 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Duniya Se Jab Main Hara Too Aaya Tere Dwar (दुनिया से मैं हारा तो आया तेरे द्वार - भजन)


Duniya Se Jab Main Hara Too Aaya Tere Dwar
Duniya Se Main Hara to Aaya Tere Dwar,
Yahan Pe Bhi Jo Hara, Kahan Jaunga Sarkar ॥
Sukh Mein Kabhi Na Teri Yaad Hai Aai,
Duhkh Mein Sanwariya Tumse Preet Lagai,
Sara Dosh Hai Mera Mein Karta Hoon Swikar,
Yahan Pe Bhi Jo Hara, Kahan Jaunga Sarkar ॥

Mera to Kya Hai Mein to Pahle Se Hara,
Tumse Hi Puchhega Ye Sansar Sara,
Doob Gai Kyon Naiya Tere Rahte Khewanhar,
Yahan Pe Bhi Jo Hara, Kahan Jaunga Sarkar ॥

Sab Kuchh Gavaya Bas Laaj Bachi Hai,
Tujhpe Kanhaiya Meri Aas Tiki Hai,
Suna Hai Tum Sunte Ho Ham Jeso Ki Pukar,
Yahan Pe Bhi Jo Hara, Kahan Jaunga Sarkar ॥

Jinko Sunaya Sonoo Apna Fasana,
Sabne Bataya Mujhe Tera Thikana,
Sab Kuchh Chhod Ke Aakhir Aaya Tere Darbar,
Yahan Pe Bhi Jo Hara, Kahan Jaunga Sarkar ॥

दुनिया से मैं हारा तो आया तेरे द्वार - भजन हिन्दी में पढ़ें

दुनिया से मैं हारा तो आया तेरे द्वार, यहाँ पे भी जो हारा, कहाँ जाऊंगा सरकार॥
Read Also

Bhajan Shri Krishna BhajanKhatushyam BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanArya Samaj BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism Bhajan

Other Popular Duniya Se Jab Main Hara Too Aaya Tere Dwar Video

By Sarala Dahiya And Neerja Dahiya

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kisi Ke Kam Jo Aaye Use Insan Kahte Hai

Kisi Ke Kam Jo Aaye, Use Insan Kahte Hain । Paraya Dard Apnaye, Use Insan Kahte Hain ॥

Anmol Tera Jeevan Yuhi Ganwa Raha Hai

Anmol Tera Jeevan, Yun Hi Ganva Raha Hai, Kis Aur Teri Manjil...

Tulsa Kar Aai Chaaron Dham

Tulsa Kar Aai Charon Dham, Jane Kahan Legi Vishram । Pahala Vishram Vaane Haridwar Mein Payo..

Radha Ka Chitchor Kanhaiya

Radha Ka Chitchor Kanhaiya, Daooji Ka Natkhat Bhaiya, Kunj Galin Ka Raas Rachaiya, Bha Gaya Hamen Bha Gaya...

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein, Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon, Vaani Mein Tanik Mithas Nahin, Par Vinay Sunane Aayi Hoon ॥

Nit Nayo Lage Sanvaro

Nit Nayo Laage Saanvaro, Iki Leva Nazar Utaar, Najar Na Lag Jaavai, Eki Leva Nazar Utaar..

Baba Karle Tu Ithe Bhi Nazar Bhagat Koi Rota Hoyega

Baba Karle Tu Ithe Bhi Nazar, Bhagat Koi Rota Hovega, Aaya Hoga Haar Ke Vo Har Dagar, Aaya Hoga Haar Ke Vo Har Dagar, Bhagat Koi Rota Hovega, Baba Karlen Tu Ithe Bhi Nazar, Bhagat Koi Rota Hovega ॥

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP