Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Itni Shakti Hamein Dena Data Prayer (इतनी शक्ति हमें देना दाता: भजन)


Itni Shakti Hamein Dena Data Prayer
Itni Shakti Hamein Dena Data,
Manka Vishwas Kamjor Ho Na
Ham Chalen Nek Raste Pe,
Hamse Bhoolkar Bhi Koi Bhool Ho Na
Itni Shakti Hamein Dena Data,
Manka Vishwas Kamjor Ho Na
Ham Chalen Nek Raste Pe,
Hamse Bhoolkar Bhi Koi Bhool Ho Na

Door Agyan Ke Ho Andhere
Tu Hamen Gyan Ki Raushni De
Har Burai Se Bachke Rahen Ham
Jeetni Bhi De Bhali Zindagi De
Bair Ho Na Kisi Ka Kisi Se
Bhawna Man Mein Badle Ki Ho Na

Itni Shakti Hamein Dena Data,
Manka Vishwas Kamjor Ho Na
Ham Chalen Nek Raste Pe,
Hamse Bhoolkar Bhi Koi Bhool Ho Na

Ham Na Sochen Hamen Kya Mila Hai
Ham Ye Sochen Kya Kiya Hai Arpan
Phool Khushiyon Ke Baanten Sabhi Ko
Sabka Jeevan Hi Ban Jae Madhuban
O.. Apni Karuna Ko Jal Tu Baha Ke
Karde Paavan Har Ek Man Ka Kona

Itni Shakti Hamein Dena Data,
Manka Vishwas Kamjor Ho Na
Ham Chalen Nek Raste Pe,
Hamse Bhoolkar Bhi Koi Bhool Ho Na

----- Addition ----

Ham Andhere Mein Hain Raushni De
Kho Na De Khud Ho Hi Dushmani Se
Ham Saza Payen Apne Kiye Ki
Maut Bhi Ho to Sah Le Khushi Se
Kal Jo Guzara Hai Phirse Na Guzre
Aanewala Vo Kal Aisa Ho Na

Itni Shakti Hamein Dena Data,
Manka Vishwas Kamjor Ho Na
Ham Chalen Nek Raste Pe,
Hamse Bhoolkar Bhi Koi Bhool Ho Na

Har Taraf Zulm Hai Bebasi Hai
Sahama-sahama Sa Har Aadmi Hai
Paap Ka Bojh Badhta Hi Jae
Jane Kaise Ye Dharti Thami Hai
Bojh Mamta Ka Tu Ye Utha Le
Teri Rachna Ka Ye Ant Ho Na

Itni Shakti Hamein Dena Data,
Manka Vishwas Kamjor Ho Na
Ham Chalen Nek Raste Pe,
Hamse Bhoolkar Bhi Koi Bhool Ho Na

इतनी शक्ति हमें देना दाता: भजन हिन्दी में पढ़ें

इतनी शक्ति हमें देना दाता, मनका विश्वास कमजोर हो ना..
Read Also

Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham Bhajan

Other Popular Itni Shakti Hamein Dena Data Prayer Video

Itni Shakti Hamein Dena Data Prayer From Movie Ankush

By Divya Chaturvedi

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mere Uthe Virah Me Pir

Mere Uthe Virah Me Pir, Sakhi Brundaban Jaungi, Murali Baje Yamuna Tir, Sakhi Brundaban Jaungi ॥

Tadapata Hai Tera Ye Daas Sambhalo

Chale Aao, Tadapta Hai Tera Ye Daas Sambhalo, Milan Ki Aas Na Tute Sambhalo ॥

Hum Hath Utha Kar Kehte Hai Hum Ho Gaye Khatu Wale Ke

Hum Hath Utha Kar Kehte Hai, Hum Ho Gaye Khatu Wale Ke, Hum Shish Jhuka Kar Kahte Hai, Hum Ho Gaye Khatu Wale Ke ॥

Sri Sad-Goswamyastakam

Krishnotkirtan-gan-nartan-parau Premamritambhonidhi, Dhiraadhirjan-priyou Priyakarau Nirmatsarau Pujitou ।

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP