Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Bhajan: Kalyug Mein Sidh Ho Dev Tumhin Hanuman (कलियुग में सिद्ध हो देव तुम्हीं: भजन)


Bhajan: Kalyug Mein Sidh Ho Dev Tumhin Hanuman
Kalyug Mein Sidh Ho Dev Tumhin,
Hanuman Tumhara Kya Kahana ।
Teri Shakti Ka Kya Kahana,
Teri Bhakti Ka Kya Kahana ॥
Sita Ki Khoj Kari Tumne,
Tum Saat Samundar Paar Gaye ।
Lanka Ko Kiya Shamshaan Prabhu,
Balwan Tumhara Kya Kahana ॥
Teri Shakti Ka Kya Kahana,
Teri Bhakti Ka Kya Kahana ।
॥ Kalyug Mein Sidh Ho Dev Tumhin… ॥

Jab Lakhan Laal Ko Shakti Lagi,
Tum Dronagiri Parvat Laye ।
Lakshman Ke Bachaye Aa Kar Ke,
Tab Pran Tumhara Kya Kahana ॥
Teri Shakti Ka Kya Kahana,
Teri Bhakti Ka Kya Kahana ।
॥ Kalyug Mein Sidh Ho Dev Tumhin… ॥

Tum Bhakt Shiromani Ho Jag Mein,
Tum Veer Shiromani Ho Jag Mein ।
Tere Rom Rom Mein Baste Hain Siya Ram,
Tumhara Kya Kahana ॥

Kalyug Mein Sidh Ho Dev Tumhin,
Hanuman Tumhara Kya Kahana ।
Teri Shakti Ka Kya Kahana,
Teri Bhakti Ka Kya Kahana ॥

हनुमान चालीसा | श्री हनुमान आरती | संकटमोचन अष्टक | बालाजी आरती | श्री राम स्तुति

◉ श्री हनुमंत लाल की पूजा आराधना में हनुमान चालीसा, बजरंग बाण और संकटमोचन अष्टक का पाठ बहुत ही प्रमुख माने जाते हैं।

कलियुग में सिद्ध हो देव तुम्हीं: भजन हिन्दी में पढ़ें

कलियुग में सिद्ध हो देव तुम्हीं हनुमान तुम्हारा क्या कहना। तेरी शक्ति का क्या कहना...
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanLakha Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bansi Wale Ke Charno Me Sar Ho Mera

Bansi Wale Ke Charnon Mein, Sar Ho Mera, Phir Na Puchho, Ki Us Waqt Kya Baat Hai । Unke Dware Pe Dala Hai Jab Se Dera, Phir Na Puchho Ki Kaisi Mulakat Hai ॥

Har Roti Hui Aankh Ko Hansa Teri Meharbaani Hovegi

Har Roti Hui Aankh Ko Hansa, Teri Meharbani Hovegi, Har Haare Hue Premi Ko Jeeta, Ter Meharbani Hovegi ॥

Tu Bulata Rahe Aur Mein Aata Rahun

Tere Darbar Ko Yoon Sajata Rahun, Tu Bulata Rahe Aur Main Aata Rahun, Tu Bulata Rahe Aur Main Aata Rahun ॥

Aapne Apna Banaya Meharbani Aapki

Aapne Apna Banaya Meharbani Aapki, Ham to Is Kabil Hi Na the, Ye Kadar Dani Aapki, Aapne Apna Banaya Meharbani Aapki

Baba Shyam Tu Kad Sunasi Re

Baba Shyam Tu Kad Sunasi Re, Tabariya Ri Darshan Tain, Aankhya Tarsi Re, Baba Shyam Tu Kad Sunasi Re ॥

Baba Mujhe Ye To Bata Koi Itna Bhi Deta Hai Kya

Baba Mujhe Ye to Bata, Koi Itna Bhi Deta Hai Kya, Diya Tune Jitna, Tune Bana Di Hai Aukat...

Radhe Braj Jan Man Sukhakari

Radhe Braj Jan Man Sukhkari, Radhe Shyam Shyama Shyam, Mor Mukut Makarakrt Kundal, Gal Vaijayanti Mala..

Shiv Chalisa - Shiv Chalisa
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP