Holi 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Mere Sar Par Rakh Do Bhole (मेरे सिर पर रख दो भोले: भजन)


Mere Sar Par Rakh Do Bhole
Mere Sar Par Rakh Do Bhole,
Apne Ye Dono Haath,
Dena Ho To Dijiye,
Janam Janam Ka Saath ॥
Dene Wale Sham Shivdani Hai,
Ann Dhan Daulat Kya Maange,
Mahadev Ke Mange To Fir,
Naam Aur Ijaat Kya Mange,
Mere Jivan Main Tu Kar De,
Mere Jivan Main Tu Kar De,
Ab Krupa Ki Barsad,
Dena Ho To Dijiye,
Janam Janam Ka Saath ॥

Bhole Tere Charon Ki Dhuli,
Dhan Doulat Se Mahangi Hogi,
Ek Najar Krupa Ki Baba,
Naam Ijat Se Mahangi Hai,
Mere Dil Ki Mannat Yahi Hai,
Mere Dil Ki Mannat Yahi Hai,
Karun Sewa Teri Din Raat,
Dena Ho To Dijiye,
Janam Janam Ka Saath ॥

Jhulas Rahi Gum Ki Dhup Main,
Pyar Ki Chaya Kar De Tu,
Bin Majhi Ke Naav Chale Na,
Ab Patbar Pakad Le Tu,
Mera Rasta Roshan Kar De,
Mera Rasta Roshan Kar De,
Chae Andhiyari Raat,
Dena Ho To Dijiye,
Janam Janam Ka Saath ॥

Kahati Hai Duniya Sharanagat Ko,
Apne Gale Lagate Ho,
Asa Humne Kya Manga Jo,
Dene Main Ghabrate Ho,
Chahe Jese Rakho Tripurari,
Chahe Jese Rakho Tripurari,
Bas Hoti Rahe Tripurari,
Dena Ho To Dijiye,
Janam Janam Ka Saath ॥

Mere Sar Par Rakh Do Bhole,
Apne Ye Dono Haath,
Dena Ho To Dijiye,
Janam Janam Ka Saath ॥

मेरे सिर पर रख दो भोले: भजन हिन्दी में पढ़ें

मेरे सिर पर रख दो भोले, अपने ये दोनों हाथ, देना हो तो दीजिए, जनम जनम का साथ ॥
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Mujhe Radharani Mera Shyam Mila De

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya. Hori Re Hori Re Barjori Re Rasiya॥

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya, Hori Re Hori Re Barajori Re Rasiya...

Holi Holi Sanware Ki Aae Holi

Holi Holi Holi Holi Holi, Holi Holi Holi Sanware Ki Aae Holi, Gokul Bhiga Mathura Bhiga Bhagato Ki Bhigi Toli,
Holi Holi Holi Holi Holi ॥

Holi Re Holi Barsane Ki Holi

Radha Krishna Ne Mil kar Kheli Barsane Ki Holi, Sang Kishan Ke Gwal Sakha Hai Sakhiyan Radha Toli,
Holi Re Holi Barsane Ki Holi ॥

Aayo Gandgaon Se Holi Khelan Natwar Nand Kishor

Aayo Nandganv Se Holi Khelan Natwar Nand Kishor । Natwar Nand Kishor, Aayo Chhaliya Makhan Chor Sang Mein Gwal Baal Mastane, Rabdi Tikiya Ghote Chhane । Saje Swang Mein Dhap Manmaane ।

Khele Masane Mein Holi Digambar

Khele Masane Mein Hori, Digambar, Khele Masane Mein Hori, Bhoot Pisach Batori,
Digambar, Khele Masane Mein Hori ॥

Aditya Hridaya Stotra - Aditya Hridaya Stotra
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP