दिवाली  2026 - Diwali 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Meri Chhoti Si Hai Naav (मेरी छोटी सी है नाव: भजन)


Meri Chhoti Si Hai Naav
Meri Chhoti Si Hai Naav,
Tere Jaadu Bhare Panv,
Mohe Dar Lage Ram,
Main Kaise Bithaun Meri Nanv Mein,
Tum Ho Sabke Taranhaar,
Kar Do Mera Beda Paar,
Suno Mere Sarkar,
Main Kaise Bithaun Meri Nanv Mein ॥
Ik Patthar Se Ban Gayi Naari,
Lakdi Ki Hai Naav Hamari,
Chalta Usase Rojgar,
Paalun Mera Parivar,
Main Kaise Bithaun Meri Nanv Mein ॥

Meri Chhoti Si Hai Naav,
Tere Jaadu Bhare Panv,
Mohe Dar Lage Ram,
Main Kaise Bithaun Meri Nanv Mein ॥

Ik Baat Maano to Baithaloon,
Tere Charnon Ki Dhool Nikalu,
Agar Hove Manjur,
Suno Mere Hujur,
Aao Bithaoon Meri Naanv Mein ॥

Meri Chhoti Si Hai Naav,
Tere Jaadu Bhare Panv,
Mohe Dar Lage Ram,
Main Kaise Bithaun Meri Nanv Mein ॥

Bade Prem Sahit Pag Dhota,
Sab Paap Janam Ke Khota,
Hove Man Mein Prasann,
Kare Ram Darshan,
Sang Sita Lakshman,
Aao Bithaoon Meri Naanv Mein ॥

Meri Chhoti Si Hai Naav,
Tere Jaadu Bhare Panv,
Mohe Dar Lage Ram,
Main Kaise Bithaun Meri Nanv Mein ॥

Vo to Phoolon Ki Bhent Chadhata,
Vo to Charanamrit Ko Leta,
Aisa Samay Barbaar,
Nahin Aaye Sarkar,
Aao Bithaoon Meri Naanv Mein ॥

Meri Chhoti Si Hai Naav,
Tere Jaadu Bhare Panv,
Mohe Dar Lage Ram,
Main Kaise Bithaun Meri Nanv Mein ॥

Dheere Dheere Se Naav Chalata,
Geet Mann Mein Khushi Ka Gata,
Sooraj Na Doobe Ksheen Mein,
Ram Na Jaye Van Mein,
Aao Bithaoon Meri Naanv Mein ॥

Meri Chhoti Si Hai Naav,
Tere Jaadu Bhare Panv,
Mohe Dar Lage Ram,
Main Kaise Bithaun Meri Nanv Mein ॥

Mallaah Le Lo Naanv Utarai,
Mere Palle Kuchh Nahin Bhai,
Ye to Kar Lo Sweekaar,
Teri Hogi Jai Jaikar,
Suno Kevat Ki Pukar,
Aao Bithaoon Meri Naanv Mein ॥

Meri Chhoti Si Hai Naav,
Tere Jaadu Bhare Panv,
Mohe Dar Lage Ram,
Main Kaise Bithaun Meri Nanv Mein ॥

Meri Chhoti Si Hai Naav,
Tere Jaadu Bhare Panv,
Mohe Dar Lage Ram,
Main Kaise Bithaun Meri Nanv Mein,
Tum Ho Sabke Taranhaar,
Kar Do Mera Beda Paar,
Suno Mere Sarkar,
Main Kaise Bithaun Meri Nanv Mein ॥

मेरी छोटी सी है नाव: भजन हिन्दी में पढ़ें

मेरी छोटी सी है नाव, तेरे जादू भरे पॉंव, मोहे डर लागे राम, मैं कैसे बिठाऊँ मेरी नॉंव में, तुम हो सबके तारणहार, कर दो मेरा बेड़ा पार, सुनो मेरे सरकार, मैं कैसे बिठाऊँ मेरी नॉंव में ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Mandir Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Ramdoot Mahavir Hanuman Sweekaro

Ramdoot Mahavir Hanuman, Swikaro Mere Koti Pranam, Aas Lagi Tori Kirpa Nidhan,..

Bajrangi Tera Sota Kamal

Bajarangi Tera Sota Kamal, Machai Jag Mein Baba Dhamal, Ram Gun Gayenge Kasta Mit Jayenge ॥

Maan Mandir Mein Ram Hona Chahiye

Juba Pe Ram Ka Naam Hona Chahiye, Maan Mandir Mein Ram Hona Chahiye, Maan Mandir Mein Ram Hona Chahiye ॥

Jagmag Hui Ayodhya Nagari Sant Kare Gungan

Ratan Sinhasan Ram Virajen, Aae Ghadi Mahan, Dhumdham Se Abadhapuri Main,
Ho Mandir Nirman, Ankhiyan Taras Gae Sadiyon Se, Jhume Sakal Jahaan, Jagmag Hui Ayodhya Nagari,
Sant Kare Gungan ॥

Saanjh Savere Nain Bicha Ke Rah Taku Raghunandan Ki

Saanjh Savere Nain Bichha Ke, Rah Taku Raghunandan Ki, Ram Ayenge Jag Jayegi..

Jab Ayodhya Mein Janm Liya Ram Ne

Raja Dasharath Kaushalya, Ke Ghar Mein Khushi, Jab Ayodhya Mein Janm, Liya Ram Ne,
Chaitr Mahine Ki Vo Thi, Suhani Ghadi, Chaitr Navami Ko Janm, Liya Ram Ne, Raja Dasharath Kaushalya, Ke Ghar Mein Khushi, Jab Ayodhya Mein Janm, Liya Ram Ne ॥

Aditya Hridaya Stotra - Aditya Hridaya Stotra
Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Bhakti Bharat APP