Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Prabhu Ram Ka Sumiran Kar (प्रभु राम का सुमिरन कर - भजन)


Prabhu Ram Ka Sumiran Kar
Prabhu Ram Ka Sumiran Kar,
Har Duhkh Mit Jayega,
Yahi Ram Naam Tujhko,
Bhav Paar Lagayega ॥
Mithya Jag Mein Kabse,
Tu Pagle Raha Hai Dol,
Tu Inki Sharan Aakar,
Hathon Ko Jod Ke Bol,
Ye Daas Tumhara Ab,
Kaheen Aur Na Jayega,
Yahi Ram Naam Tujhko,
Bhav Paar Lagayega ॥

Kaisa Bhi Samay Aaye,
Kaisi Bhi Ghadi Aaye,
Sachche Hriday Se Jo,
Sumiran Inka Gaye,
Har Vipda Mein Uska,
Ye Sath Nibhayega,
Yahi Ram Naam Tujhko,
Bhav Paar Lagayega ॥

Kab Jaane Dhal Jaye,
Do Pal Ka Hai Jeevan,
Prabhu Ram Ke Charnon Mein,
Kar De Tu Kuchh Arpan,
Tere Sath Mein Bas Keval,
Yahi Naam Hi Jayega,
Yahi Ram Naam Tujhko,
Bhav Paar Lagayega ॥

Prabhu Ram Ka Sumiran Kar,
Har Duhkh Mit Jayega,
Yahi Ram Naam Tujhko,
Bhav Paar Lagayega ॥

प्रभु राम का सुमिरन कर - भजन हिन्दी में पढ़ें

प्रभु राम का सुमिरन कर, हर दुःख मिट जाएगा, यही राम नाम तुझको, भव पार लगाएगा ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Katha BhajanAyodhya Dham Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Natkhat Natvar Nagar Krishna

Natkhat Natvar Nagar Krishna, Maanmohan Muralidhar Krishna ॥

Gobind Chale Charavan Gaiya

Gobind Chale Charavan Gaiya । Dino Hai Rishi Aaju Bhalau Din, Kahyau Hai Jasoda Maiya ॥

Vrindavani Venu

Teri Surat Pe Jaun Balihar Rasiya, Main to Nachungi Tere Darbar Rasiya ॥

Jaoon Tore Charan Kamal Par Vari

Jaaoon Tore Charaṇ Kamal Par Vaaree, He Gopaal Govind Muraaree, Sharaṇaagat Hoon Dwaar Tihaare..

Milta Hai Sachha Sukh Keval Bhagwan Tere Charno Me

Milta Hai Sachha Sukh Keval Bhagwan Tumhare Charno Mein । Yah Vinti Hai Pal Pal Chhin Ko

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP