Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Ram Ji Ki Sena Chali (रामजी की सेना चली: भजन)


Ram Ji Ki Sena Chali
Har Har Mahadev, Har Har Mahadev,
Jai Bhavani, Jai Bhavani,
Jai Bhavani, Jai Bhavani,
Papiyo Ki Naash Ko,
Dharma Ke Prakash Ki,
Shree Ram Ji Ki Sena Chali,
Ramji Ki Sena Chali ॥
Paap Anachar Main,
Ghor Andhakar Main,
Ek Nae Jyoti Jali,
Shree Ram Ji Ki Sena Chali,
Ramji Ki Sena Chali ॥

Nishichar Hin Karenge Dharati,
Yah Pran Hai Shree Ram Ka,
Jab Tak Kaam Na Puran Hoga,
Naam Nahi Vishraam Ka,
Use Mitaanen Chalen Ki Jisaka,
Mantr Vayam Rakshaam Ka,
Samay Aa Gaya Nikat Ram Aur,
Ravan Ke Sangraam Ka,
Tino Lok Dhanya Hai,
Devta Prasanna Hai,
Tino Lok Dhanya Hai,
Devta Prasanna Hai,
Aaj Manokamna Phali,
Shree Ram Ji Ki Sena Chali,
Ramji Ki Sena Chali ॥

amchandra Ji Ke Sang Laxman,
Kar Main Lekar Baan Chale,
Liye Bijay Biswas Hruday Main,
Sang Veer Hanuman Chale,
Sena Sang Sugriva, Neel, Nal,
Angad Chati Taan Chale,
Use Bachaye Koun Ke Jiska,
Vadh Karne Bhagvan Chale,
Aage Raghunath Hai,
Veer Saath Saath hai,
Ek Se Ek Bali,
Shree Ram Ji Ki Sena Chali,
Ramji Ki Sena Chali ॥

रामजी की सेना चली: भजन हिन्दी में पढ़ें

पाप अनाचार में, घोर अंधकार में, एक नई ज्योति जली, श्री राम जी की सेना चली, रामजी की सेना चली ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ram Nam Ke Heere Moti

Ram Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali । Krishn Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali ।

Ayodhya Wasi Ram

Ayodhyawasi Ram, Dasharath Nandan Ram, Janaki Jeevan Ram

Ram Bhajan - Jag Gayi, Jag Gayi, Ram Jyoti Jag Gayi

Ram Ji Ka Aagman Ayodhya Saari Saj Gayi, Jag Gayi Jag Gayi, Ram Jyoti Jag Gayi

Kanha Teri Kabse Baat Niharun

Kanha Teri Kabse, Baat Niharun, Baat Niharu Tujhe, Pal Pal Pukarun ॥ Bandh Li Kanha Tose

Ram Raj Fir Se Aayil Ba

Ram Mandir Mein Ayile,Ram Raaj Ab Phir Se Aail Ba, Kab Se Lagal Aas Purail, Sab Jan Ke Manava Harasail

Rakh Laaj Meri Ganpati

Rakh Laaj Meri Ganpati, Apni Sharan Mein Lijiye । Kar Aaj Mangal Ganpati, Apni Kripa Ab Kijiye..

Meri Puja Ko Safal Banao

Meri Puja Ko Safal Banao, Tum Banao, Ganraj Gajanan Aao, Ganraj Gajanan Aao ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP