गणेशोत्सव - Ganeshotsav
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Rama Rama Ratate Ratate (रामा रामा रटते रटते, बीती रे उमरिया - भजन)


Rama Rama Ratate Ratate
Popular bhajan prominently sing during Shri Ram Navami, Vijay Dashami, Sunderkand, Ramcharitmanas Katha and Akhand Ramayana.
Rama Rama Ratate Ratate,
Biti Re Umariya ।
Raghukul Nandan Kab Aaoge,
Bhilani Ki Dagariya ॥

Main Shabari Bhilani Ki Jaee,
Bhajan Bhaav Na Jaanu Re ।
Raam Tere Darshan Ke Hit,
Van Mein Jivan Paloon Re ।
Charanakamal Se Nirmal Kardo,
Dasi Ki Jhopadiya ॥
॥ Rama Rama Ratate Ratate..॥

Roj Savere Van Mein Jakar,
Phal Chun-Chun Kar Laoongi ।
Apane Prabhu Ke Sanmukh Rakh Ke,
Prem Se Bhog Lagaoongi ।
Mithe Mithe Beron Ki Main,
Bhar Lai Chhabariya ॥
॥ Rama Rama Ratate Ratate...॥

Shyaam Saloni Mohini Moorat,
Naiyon Bich Basaungi ।
Subah Sham Nit Uthakar Mai Too,
Tera Dhyan Lagaungi ।
[Extra/Optional]
Pad Pankaj Ki Raj Dhar Mastak,
Jeevan Saphal Banaungi ।
Ab Kya Prabhu Ji Bhool Gaye Ho,
Dasi Ki Dagariya ॥
॥ Rama Rama Ratate Ratate..॥

Nath Tere Darshan Ki Pyasi,
Main Abala Ek Nari Hoon ।
Darshan Bin Dou Naina Tarasen,
Sunalo Bahut Dukhari Hoon ।
Hari Roop Me Darshan Dedo,
Dalo Ek Najariya ॥
॥ Rama Rama Ratate Ratate..॥

Rama Rama Ratate Ratate,
Biti Re Umariya ।
Raghukul Nandan Kab Aaoge,
Bhilani Ki Dagariya ॥

रामा रामा रटते रटते, बीती रे उमरिया - भजन हिन्दी में पढ़ें

रामा रामा रटते रटते, बीती रे उमरिया । रघुकुल नंदन कब आओगे, भिलनी की डगरिया ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navami BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan

Other Popular Rama Rama Ratate Ratate Video

By Rishav Thakur, Ayachi Thakur, Maithili Thakur

By Sadho Band

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Wo Nyare Hai

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Vo Nyare Hain, Gaura Ke Dulare Hain Mahadev Ke Pyare Hain॥

Girija Ke Chheya Ganpati Tumhe Pukaru

Girija Ke Chheya, Ganpati Tumhe Pukaru, Poojun Main Tumhe, Aarati Teri Utarun, Girija Ke Chheya ॥

Mahalaxmi Jaap Karo

Mahalakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam, Ashta Lakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Bhakti Bharat APP