Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Sab Ras Rang Bhare Hain Ramayan Ji Mein (सब रस रंग भरे है, रामायण जी में - भजन)


Sab Ras Rang Bhare Hain Ramayan Ji Mein
Sab Ras Rang Bhare Hai,
Ramayan Ji Mein,
Sab Ras Rang Bhare Hain ॥
Doha Soratha Aur Chaupai,
Doha Soratha Aur Chaupai,
Ruchi Ruchi Chhand Bhare Hai,
Ramayan Ji Mein,
Sab Ras Rang Bhare Hain ॥

Baal Kand Mein Ram Janm Hai,
Baal Kand Mein Baal Charit Hai,
Siya Sang Byah Bhayo Hai,
Ramayan Ji Mein,
Sab Ras Rang Bhare Hain ॥

Awadh Kand Mein Sankat Chhayo,
Awadh Kand Mein Tadka Vadh Hai,
Prabhu Vanvaas Gaye Hai,
Ramayan Ji Mein,
Sab Ras Rang Bhare Hain ॥

Aranya Kand Mein Bharat Milap Hai,
Aranya Kand Mein Siya Haran Hai,
Bhaktan Daras Diye Hai,
Ramayan Ji Mein,
Sab Ras Rang Bhare Hain ॥

Kishkindha Kand Mein Hanuman Milan Hain,
Kishkindha Kand Mein Baali Maran Hain,
Sugreev Mitra Bhaye Hai,
Ramayan Ji Mein,
Sab Ras Rang Bhare Hain ॥

Sundar Kand Mein Hai Hanuman Leela,
Sundar Kand Mein Lanka Dahan Hai,
Sita Ji Khoj Kari Hai,
Ramayan Ji Mein,
Sab Ras Rang Bhare Hain ॥

Lanka Kand Mein Satya Ki Jeet Hai,
Lanka Kand Mein Ravan Maaro Hai,
Vibhishan Raja Bane Hai,
Ramayan Ji Mein,
Sab Ras Rang Bhare Hain ॥

Uttar Kand Ram Raja Banen Hai,
Uttarkand Ramraj Aayo Sukhdai,
Lav Kush Janm Bhayo Hain,
Ramayan Ji Mein,
Sab Ras Rang Bhare Hain ॥

Sab Ras Rang Bhare Hai,
Ramayan Ji Mein,
Sab Ras Rang Bhare Hain ॥

सब रस रंग भरे है, रामायण जी में - भजन हिन्दी में पढ़ें

सब रस रंग भरे है, रामायण जी में, सब रस रंग भरे हैं ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Gajbadan

Tum Ho Sankat Haran Nath Asaran Saran l Saara Tribhuvan Tumhe Kar Raha Hai Naman l Shiv Dulare Ho......Gauri Ke Pyare Suvan.. Gajabadan ~Gajabadan ~Gajabadan

Gauri Ke Lala Ho Mere Ghar Aa Jana

Gauri Ke Lala Ho, Mere Ghar Aa Jana, Ghar Aangan Ki O Deva, Sobha Badha Jana, Gauri Ke Lala Ho,
Mere Ghar Aa Jana ॥

Hum Nain Bichaye Hai Hai Ganpati Aa Jao

Mathe Par Sindoor Hai Pyara, Peetambar Hai Tan Par Dhara, Sab Aas Lagaye Hai, Hey Ganapati Aa Jao,
Hum Nain Bichaye Hain, Hey Ganapati Aa Jao ॥

Darshan Ko Tere Aaya

Darshan Ko Tere Aaya, Sab Dev Teri Maya, Pooja Karenge Teri, Sewa Karenge Teri ॥

Gajanand Vandan Karte Hain

Gajanand Vandan Karte Hain, Gajanand Vandan Karte Hain, Vandan Karte Hai, Aaj, Abhinandan Karte Hai, Vandan Karte Hai, Aaj, Abhinandan Karte Hai, Gajanand Vandan Karte Hain, Gajanand Vandan Karte Hain ॥

Baje Dhol Shehnai Band Baja

Baje Dhol Shahanai Baind Baja, Aaya Aaya Hai Dilli Ka Raja

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP