Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Tar Jayega Le Naam Ram Ka (तर जाएगा ले नाम राम का - भजन)


Tar Jayega Le Naam Ram Ka
Tar Jayega Le Naam Ram Ka,
Kahin Bit Na Jaye,
Ye Jivan Kaam Ka,
Tar Jayega Le Naam Ram Ka ॥
Ram Naam Ke Do Shabdon Ki,
Mahima Hai Badi Bhaari,
Patthar Pe Jab Charan Pade To,
Pal Mein Ban Gaee Naari,
Chakh Le Tu Amrt,
Hari Ke Naam Ka,
Tar Jayega Le Naam Ram Ka ॥

Ram Naam Mein Jadu Aisa,
Tir Jate Hai Patthar,
Ram Naam Se Kat Jaate Hai,
Lakh Chaurasi Chakkar,
Sumiran Tu Karale,
Hari Ke Naam Ka,
Tar Jayega Le Naam Ram Ka ॥

Lut Machi Hai Lutale Bande,
Ram Naam Ki Masti,
‘Harsh’ Kahe Mahangi Duniya Mein,
Chij Yahi Hai Sasti,
Chola Pahan Le,
Hari Ke Naam Ka,
Tar Jayega Le Naam Ram Ka ॥

Tar Jayega Le Naam Ram Ka,
Kahin Bit Na Jaye,
Ye Jivan Kaam Ka,
Tar Jayega Le Naam Ram Ka ॥

तर जाएगा ले नाम राम का - भजन हिन्दी में पढ़ें

तर जाएगा ले नाम राम का, कहीं बीत ना जाए, ये जीवन काम का, तर जायेगा ले नाम राम का ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Kitne Dino Ke Baad Hai Aayi Bhakto Raat

Kitne Dino Ke Baad Hai Aayi, Bhakto Raat Bhajan Ki, Ab Aa Bhi Jaa Maiya, Aash Lagae Aae, Bhakto Raat Bhajan Ki ॥

Sunle Murad Meri O Meri Maiya

Sunle Murad Meri O Meri Maiya, Jaikara Lagaungi Sherawali Maiya, Main Nange Pawn Aaungi Tere Dwar Maiya, Sunle Murad Meri O Meri Maiya ॥

Aaya Bulawa Bhawan Se

Aya Bulawa Bhawan Se, Mein Rah Na Pae, Apane Pati Sang Chadh Ke Chadhai, Nange Paanv Aaee, Laal Chunari Chadhaun,Jay Ho Maa, Teri Jyoti Jagaun, Jay Ho Maa, Bas Itna Bar Chahun, Darshan Ko Har Saal, Sada Hi Suhagan Hi Gaun ॥

Japu Narayani Tero Naam

Japun Narayani Tero Naam, Ranisati Maan Jhunjhanawali, Ranisati Maan Jhunjhanawali, Saancho Tero Dhaam, Japun Narayani Tero Naam, Japun Narayani Tero Naam ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP