Dharmraj Ki Aarti - Dharmraj Kar Siddh Kaaj (धर्मराज आरती - धर्मराज कर सिद्ध काज)


Dharmraj Kar Siddh Kaaj,
Prabhu Main Sharnaagat Hoon Teri ।
Padi Naav Majhdar Bhanwar Mein,
Paar Karo, Na Karo Deri ॥
॥ Dharmraj Kar Siddh Kaaj.. ॥
Dharmalok Ke Tum Swami,
Shri Yamraj Kahlate Ho ।
Jon Jon Prani Karm Karat Hain,
Tum Sab Likhte Jate Ho ॥

Ant Samay Mein Sab Hi Ko,
Tum Doot Bhej Bulate Ho ।
Paap Puny Ka Sara Lekha,
Unko Banch Sunte Ho ॥

Bhugtate Ho Pranin Ko Tum,
Lakh Chaurasi Ki Pheri ॥
॥ Dharmraj Kar Siddh Kaaj.. ॥

Chitragupt Hain Lekhak Tumhare,
Phurti Se Likhne Wale ।
Alag Agal Se Sab Jeevon Ka,
Lekha Jokha Lene Vaale ॥

Paapi Jan Ko Pakad Bulate,
Narko Mein Dhane Wale ।
Bure Kaam Karne Walo Ko,
Khoob Saja Dene Wale ॥

Koi Nahi Bach Pata Na,
Yaay Niti Aisi Teri ॥
॥ Dharmraj Kar Siddh Kaaj.. ॥

Doot Bhayankar Tere Swami,
Bade Bade Dar Jate Hain ।
Papi Jan to Jinhen Dekhte Hi,
Bhay Se Tharrate Hain ॥

Bandh Gale Mein Rassi Ve,
Paapi Jan Ko Le Jate Hain ।
Chabuk Maar Late,
Jara Raham Nahin Man Mein Late Hain ॥

Narak Kund Bhugtate Unko,
Nahin Milti Jisamen Seri ॥
॥ Dharmraj Kar Siddh Kaaj.. ॥

Dharmi Jan Ko Dharmraj,
Tum Khud Hi Lene Aate Ho ।
Sadar Le Jakar Unko Tum,
Swarg Dham Pahuchate Ho ।

Jon Jan Paap Kapat Se Darkar,
Teri Bhakti Karte Hain ।
Nark Yaatna Kabhi Na Karte,
Bhavsagar Tarte Hain ॥

Kapil Mohan Par Krpa Kariye,
Japta Hoon Teri Mala ॥
॥ Dharmraj Kar Siddh Kaaj.. ॥
धर्मराज आरती - धर्मराज कर सिद्ध काज - हिन्दी में पढ़ें
धर्मराज कर सिद्ध काज, प्रभु मैं शरणागत हूँ तेरी । पड़ी नाव मझदार भंवर में..
Aarti Dharmraj AartiHarihar AartiDharmraj Vrat AartiYam Dutiya Aarti
If you love this aarti please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Aarti ›

Hanuman Aarti

Manojavm maaruta tulyavegam। jitendriyam buddhimatam varissttha | Aarti Ki Jai Hanuman Lala Ki । Dushat Dalan Ragunath Kala Ki ॥..

Shri Balaji Ki Aarti

Om Jai Hanumat Veera, Swami Jai Hanuat Veera। Sankat Mochan Swami..

Aarti: Om Jai Jagdish Hare

Om Jaye Jagdish Hare, Swami Jaye Jagdish Hare, Bhagt Jano Ke Sankat, Khshan Mein Door Kare॥ - om jai jagdish hare lyrics in hindi and English

Tulsi Aarti - Maharani Namo Namo

Tulsi Maharani Namo-Namo, Hari ki Patrani Namo-Namo। Dhan Tulsi Puran Tap Kino...

Shri Ganga Aarti

Har Har Gange, Jai Maa Gange, Om Jay Gange Mata Shri Jay Gange Maa...