Om Jai Mahaveer Prabhu (आरती: ॐ जय महावीर प्रभु)


Jai Mahavir Prabho,
Swami Jai Mahavir Prabho ।
Jagnayak Sukhdayak,
Ati Gambhir Prabho ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥
Kundalpur Me Janme,
Trishla Ke Jaye ।
Pita Sidharth Raja,
Sun Nar Harshaye ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥

Deenanath Dayanidhi,
Hain Mangalkari ।
Jaghit Aayam Dhara,
Prabhu Par-Upkari ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥

Papachar Mitaya,
Satpath Dikhlaya ।
Dayadharm Ka Jhanda,
Jag Me Lahraya ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥

Arjunmali Gautam,
Shri Chandanbala ।
Paar Jagat Se Beda,
Inka Kar Dala ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥

Pawan Naam Tumhara,
Jag Taranhara ।
Nisidin Jo Nar Dhyave,
Kasht Mite Sara ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥

Karunasagar! Teri,
Mahima Hai Nyari ।
Gyanmuni Gun Gave,
Charan Balihari ॥
॥ Om Jai Mahavir Prabhu...॥

Jai Mahavir Prabho,
Swami Jai Mahavir Prabho ।
Jagnayak Sukhdayak,
Ati Gambhir Prabho ॥
आरती: ॐ जय महावीर प्रभु - हिन्दी में पढ़ें
ॐ जय महावीर प्रभु, स्वामी जय महावीर प्रभो। जगनायक सुखदायक, अति गम्भीर प्रभो॥
Aarti Mahavir Ji AartiJainism AartiMahavir Jayanti Aarti
If you love this aarti please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Aarti ›

Shri Kuber Aarti, Jai Kuber Swami

Jai Kuber Swami, Prabhu Jai Kuber Swami, Hai Samrath Paripuran ।

Tulsi Aarti - Maharani Namo Namo

Tulsi Maharani Namo-Namo, Hari ki Patrani Namo-Namo। Dhan Tulsi Puran Tap Kino...

Laxmi Mata Aarti

Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata।, Tumako Nishidin Sevat...

Shri Kuber Aarti

Om Jai Yaksh Kuber Hare, Swaami Jai Yaksh Kuber Hare, Sharan Pade Bhagato Ke... | Dhanteras 25 October 2019

Shri Ganesh Aarti

Jai Ganesh Jai Ganesh Jai Ganesg Deva। Mata Jaki Parwati Pita Maha Deva॥