Aai Bhagon Me Bahar Jhula Jhule Radha Rani (सावन भजन: आई बागों में बहार, झूला झूले राधा प्यारी)


Aai Baagon Mein Bahar,
Jhoola Jhoole Radha Pyari ।
Jhoole Radha Pyari,
Haan Jhoole Radha Pyari ॥
Aai Baagon Mein Bahar,
Jhoola Jhoole Radha Pyari ।
Jhoole Radha Pyari,
Haan Jhoole Radha Pyari ॥

Sawan Ki Ritu Hai Aai,
Ghanghor Ghata Nabh Chhai ।
Thandi-thandi Pade Phuhar,
Jhoola Jhoole Radha Pyari ॥

Aai Baagon Mein Bahar,
Jhoola Jhoole Radha Pyari ।
Jhoole Radha Pyari,
Haan Jhoole Radha Pyari ॥

Radha Sang Mein Banwari,
Jhoolen Hain Sakhiyan Saari ।
Gaven Geet Malhar,
Jhoola Jhoole Radha Pyari ॥

Aai Baagon Mein Bahar,
Jhoola Jhoole Radha Pyari ।
Jhoole Radha Pyari,
Haan Jhoole Radha Pyari ॥

Ho Mast Mor Yun Nache,
Mohan Ki Muraliya Baje ।
Ku-ku Koyal Kare Pukar,
Jhoola Jhoole Radha Pyari ॥

Aai Baagon Mein Bahar,
Jhoola Jhoole Radha Pyari ।
Jhoole Radha Pyari,
Haan Jhoole Radha Pyari ॥

Bhaye Aise Magan Kanhai,
Chalti Thandi Purvai ।
Chham-chham Barse Moosaldhar,
Jhoola Jhoole Radha Pyari ॥

Aai Baagon Mein Bahar,
Jhoola Jhoole Radha Pyari ।
Jhoole Radha Pyari,
Haan Jhoole Radha Pyari ॥

Sab Saj Rahin Naar Nabeli,
Natkhat Karte Athkheli ।
Kar Ke Solah Singar,
Jhoola Jhoole Radha Pyari ॥

Aai Baagon Mein Bahar,
Jhoola Jhoole Radha Pyari ।
Jhoole Radha Pyari,
Haan Jhoole Radha Pyari ॥
सावन भजन: आई बागों में बहार, झूला झूले राधा प्यारी - हिन्दी में पढ़ें
आई बागों में बहार, झूला झूले राधा प्यारी । झूले राधा प्यारी, हाँ झूले राधा प्यारी ॥
Bhajan Hariyali Teej BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanSawan BhajanJhula Geet Bhajan

Other Popular Aai Bhagon Me Bahar Jhula Jhule Radha Rani Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ik Din Vo Bhole Bhandari Banke Braj Ki Nari

Ik Din Vo Bhole Bhandari, Ban Karake Braj Ki Naari, Braj Mein Aa Gae | Ek Din Woh Bhole Bhandari Bhajan Lyrics in Hindi And English

Jholi Bharlo Bhakto Daulat Barse Bhole Ke Darbar

Jholi Bhar Lo Bhakto, Daulat Barase Bhole Ke Darabaar, Jholi Bhar Lyo Ji, Datari Ka Kya Kahana Hai,
Datari Ka Kya Kahana, Sarakaron Ki Sarakaar, Jholi Bhar Lyo Ji, Jholi Bhar Lo Bhakto, Daulat Barase Bhole Ke Darabaar, Jholi Bhar Lyo Ji ॥

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Aaja Aaja O Ganraja

Sarvpratham Pujit Ho Baba, Tum Ho Jag Se Nirale। Sraddha Bhav Se Tumko Puje, Sada Yeh Duniya Wale। Kabhi Nahin Koi Lauta Tere Dar Se Yun Hi Khali, Bhar-Bhar Ke Dete Ho Sabko, Jo Aaye Banke Sawali॥

Gaiye Ganpati Jagvandan

Gaiye Ganapati Jagvandan। Shankar Suvan Bhavani Ke Nandan॥ Siddhi Sadan Gajvadan Vinayak।