Aana Ho Shri Ganesha Mere Bhi Ghar Mein Aana (आना हो श्री गणेशा, मेरे भी घर में आना - भजन)


Aana Ho Shri Ganesha,
Mere Bhi Ghar Mein Aana,
Hey Gauri Sut Gajanan,
Hey Gauri Sut Gajanan,
Mujhko Na Bhul Jana,
Aana Ho Shri Ganesha,
Mere Bhi Ghar Mein Aana ॥
Modak Ho Laddu Apane,
Haathon Se Main Banaun,
Jo Chahoge Ganesha,
Tumako Main Vo Khilaun,
Sewa Karun Tumhari,
Sewa Karun Tumhari,
Kuch Din Yahi Bitana,
Aana Ho Shri Ganesha,
Mere Bhi Ghar Mein Aana,
Hey Gauri Sut Gajanan,
Aana Ho Shri Ganesha,
Mere Bhi Ghar Mein Aana ॥

Har Saal Mere Deva,
Sabke Hi Ghar Mein Aate,
Kutiya Mein Meri Aana,
Tum kyun Ho Bhul Jate,
Wada Kiya Jo Tumne,
Wada Kiya Jo Tumne,
Bhakto Se Vo Nibhana,
Aana Ho Shri Ganesha,
Mere Bhi Ghar Mein Aana,
Hey Gauri Sut Gajanan,
Aana Ho Shri Ganesha,
Mere Bhi Ghar Mein Aana ॥

Hum Bhi Deewane Tere,
Hey Ganpati Gajanan,
Ab Ke Baras Ho deva,
Suna Na Rakhna Aangana,
Ek Phera Mere Ghar Ka,
Ek Phera Mere Ghar Ka,
Aakar Ke Tum Lagana,
Aana Ho Shri Ganesha,
Mere Bhi Ghar Mein Aana,
Hey Gauri Sut Gajanan,
Aana Ho Shri Ganesha,
Mere Bhi Ghar Mein Aana ॥

Har Pal Mujhe Jarurat,
Duniya Mein Hai Tumhari,
Rakhte Ho Laaj Uski,
Rakhni hai Ab Humari,
Thokar Jagat Ne Mari,
Thokar Jagat Ne Mari,
Charnon Mein Tum Bithana,
Aana Ho Shri Ganesha,
Mere Bhi Ghar Mein Aana,
Hey Gauri Sut Gajanan,
Aana Ho Shri Ganesha,
Mere Bhi Ghar Mein Aana ॥

Aana Ho Shri Ganesha,
Mere Bhi Ghar Mein Aana,
Hey Gauri Sut Gajanan,
Hey Gauri Sut Gajanan,
Mujhko Na Bhul Jana,
Aana Ho Shri Ganesha,
Mere Bhi Ghar Mein Aana ॥
आना हो श्री गणेशा, मेरे भी घर में आना - भजन - हिन्दी में पढ़ें
आना हो श्री गणेशा, मेरे भी घर में आना, हे गौरीसुत गजानन, हे गौरीसुत गजानन, मुझको ना भूल जाना, आना हों श्री गणेशा, मेरे भी घर में आना ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Pyaro Vrindavan

Shayama hriday kamal so pragtyo, Shayama hriday kamal so pragtyo, Shayam haday ku bhaye, Vrindavan pyaro vrindavan...

Ik Din Vo Bhole Bhandari Banke Braj Ki Nari

Ik Din Vo Bhole Bhandari, Ban Karake Braj Ki Naari, Braj Mein Aa Gae | Ek Din Woh Bhole Bhandari Bhajan Lyrics in Hindi And English

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja, Uska Hi Uddhar Hua । Ant Kaal Ko Bhavasagar Mein, Uska Beda Paar Hua

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath, Teeno Lok Mein Tu Hi Tu । Shraddha Suman Mera, Man Belapatri...

Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Me Bhakto

Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto, Har Har Har Mahadev Kee Jay Ho ।