Aapne Apna Banaya Meharbani Aapki (आपने अपना बनाया मेहरबानी आपकी - भजन)


Aapne Apna Banaya Meharbani Aapki,
Ham to Is Kabil Hi Na the,
Ye Kadar Dani Aapki,
Aapne Apna Banaya Meharbani Aapki ॥
Main to Tum Se Har Tarah,
Hokar Alag Bhaga Raha,
Is Jahan Ke Daur Main,
Atka Raha Bhatka Raha,
Laga Liya Mujhko Gale Se,
Ye Ravani Aapki,
Aapne Apna Banaya Meharbani Aapki ॥

Kahan Hai Tu Aur Kahan Hoon Main,
Ye Milna Bhi Kya Ho Sakta Tha,
Kar Kar Gunaah Is Tamash Gaahe Aalam Main,
Main Bhatka Raha,
Be-sabab Ho Gai Ye Rehmatani Aapki,
Aapne Apna Banaya Meharbani Aapki ॥

Ab to Pyare Aapke Kadmon Pe
Sar Ko Mainne Rakh Diya,
Ham Inayat Ham Navajish,
Is Karam Ka Shukriya,
Tum Hamare Ham Tumhare,
Ye Jindgani Aapki,
Aapne Apna Banaya Meharbani Aapki ॥

Barso Se Ujda Pada Tha,
Mere Dil Ka Ye Chaman,
Ujdi Bagiya Khil Uthi,
Jab Ho Gaya Tera Aagman,
Aap Ne Jo Gul Khilaya,
Meharbani Aapki,
Aapne Apna Banaya Meharbani Aapki ॥

Aapne Apna Banaya Meharbani Aapki,
Ham to Is Kabil Hi Na the,
Ye Kadar Dani Aapki,
Aapne Apna Banaya Meharbani Aapki ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
आपने अपना बनाया मेहरबानी आपकी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
आपने अपना बनाया मेहरबानी आपकी, हम तो इस काबिल ही ना थे, ये कदर दानी आपकी...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanShri Radha Krishna BhajanShri Shayam BhajanFalgun Mela Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Guru Bina Ghor Andhera Re Santo

Guru Bin Ghor Andhera Santo, Guru Bin Ghor Andhera Ji । Bina Deepak Mandriyo Suno...

Sab Main Koi Na Koi Dosh Raha

Sab Mein Koi Na Koi Dosh Raha । Ek Vidhata Bas Nirdosh Raha ॥ Ved Shaastr Ka Mahapandit Gyani

Magan Ishwar Ki Bhakti Me Are Mann Kiyon Nahin Hota

Magan Ishwar Ki Bhakti Mein, Are Mann Kyon Nahin Hota । Pada Aalasy Mein Murkh

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..