Aata Raha Hai Sanwara Aata Hi Rahega (आता रहा है सांवरा, आता ही रहेगा: भजन)


Aata Raha Hai Sanwara,
Aata Hi Rahega,
Deenon Ki Laaj Shyam,
Deenon Ki Laaj Shyam,
Bachata Hi Rahega,
Aata Raha Hai Sanwara,
Aata Hi Rahega ॥
Girte Huye Ko Aur Hi,
Girata Hai Jahan,
Girte Huye Ko Tham Le,
Aisa Koi Kahan,
Girte Ko Tham Shyam,
Girte Ko Tham Shyam,
Uthata Hi Rahega,
Aata Raha Hai Sanwara,
Aata Hi Rahega ॥

Haare Ka Sath Dene Ki,
Mushkil Badi Dagar,
Dekar Ke Daan Sheesh Ka,
Vo Ho Gaya Amar,
Maan Ko Diya Vachan Vo,
Maan Ko Diya Vachan Vo,
Nibhata Hi Rahega,
Aata Raha Hai Sanwara,
Aata Hi Rahega ॥

Halaat Se Jo Haar Kar,
Darbar Aa Gaya,
‘sooraj’ Inse Jeet Ka,
Vardan Pa Gaya,
Haare Hue Ko Shyam,
Haare Hue Ko Shyam,
Jeetata Hi Rahega,
Aata Raha Hai Sanwara,
Aata Hi Rahega ॥

Aata Raha Hai Sanwara,
Aata Hi Rahega,
Deenon Ki Laaj Shyam,
Deenon Ki Laaj Shyam,
Bachata Hi Rahega,
Aata Raha Hai Sanwara,
Aata Hi Rahega ॥
आता रहा है सांवरा, आता ही रहेगा: भजन - हिन्दी में पढ़ें
आता रहा है सांवरा, आता ही रहेगा, दीनों की लाज श्याम, दीनों की लाज श्याम, बचाता ही रहेगा, आता रहा है साँवरा, आता ही रहेगा ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥