Aayega Mera Shyam Lile Chadh Karke (आयेगा मेरा श्याम, लीले चढ़ करके - भजन)


Dil Se Jaikara Bolo,
Sankat Mein Kabhi Na Dolo,
Pakdega Tera Hath,
Sanwara Badh Karke,
Aayega Mera Shyam,
Lile Chadh Karke,
Lile Chadh Karke,
O Lile Chadh Karke,
Aayega Mera Shyam,
Lile Chadh Karke ॥
Mere Shyam Ka Ek Jaikara,
Kitno Ko Paar Utara,
Dil Se Jab Koi Pukara,
Haare Ka Bana Sahara,
Karta Bhakton Ki Rakhwali,
Ad Kar Ke,
Aayega Mera Shyam,
Lile Chadh Karke ॥

Kalyug Ka Dev Nirala,
Mera Baba Khatoo Wala,
Hai Dev Bada Dilwala,
Khole Kismat Ka Tala,
Tod De Kadki Ka,
Ye Tala Kad Karke,
Aayega Mera Shyam,
Lile Chadh Karke ॥

Chal Ban Ja Shyam Deewana,
Ye Jaane Preet Nibhana,
Heere Moti Se Na Bharmana,
Do Bhakti Ke Phool Chadhana,
Kabhi Bulana Na Tu,
‘romi’ Akad Karke,
Aayega Mera Shyam,
Lile Chadh Karke ॥

Dil Se Jaikara Bolo,
Sankat Mein Kabhi Na Dolo,
Pakadega Tera Haath,
Sanwara Badh Karke,
Aayega Mera Shyam,
Lile Chadh Karke,
Lile Chadh Karke,
O Lile Chadh Karke,
Aayega Mera Shyam,
Lile Chadh Karke ॥
आयेगा मेरा श्याम, लीले चढ़ करके - भजन - हिन्दी में पढ़ें
दिल से जयकारा बोलो, संकट में कभी ना डोलो, पकड़ेगा तेरा हाथ, सांवरा बढ़ करके, आएगा मेरा श्याम, लीले चढ़ करके ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shri Ram Jay Ram Jay Jay Ram Dhun

Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram, Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram..

Jal Jaaye Jihwa Papini, Ram Ke Bina

Ram Bina Nar Aise Jaise, Ashv Lagaam Bina । Jal Jaaye Jihwa Papini

Ram Tum Bade Dayalu Ho

Ram Tum Bade Dayalu Ho, Nath Tum Bade Dayalu Ho, Hari Ji Tum Bade Dayalu Ho ॥

Janaki Stuti - Bhai Pragat Kumari

Bhai Pragat Kumari Bhoomi-vidari Jan Hitkari Bhayhari । Atulit Chhabi Bhari

Sita Sita Sita Ram Gaiye

Sita Sita Sita Ram Gaiye, Chahe, Radhe Radhe Radhe Shyam Gaiye, Sita Ram Gaiye