Aisi Bhakti Mahadev De Do Hame (ऐसी भक्ति महादेव दे दो हमें - भजन)


Aisi Bhakti He Shambhu De Do Mujhe,
Raat Din Main Bhajan Tere Gata Rahoon,
Jaisa Bhi Aye Gam Jindagi Mein Magar,
Do Vo Shakti Ki Main Muskurata Rahoon,
Aisi Bhakti Mahadev De Do Humen,
Raat Din Hum Bhajan Tere Gate Rahen ॥
Jab Bhi Dekhoon Jahaan Aur Dekhoon Jidhar,
Ek Bas Tu Hi Tu Mujhko Aaye Najar,
Doosra Bich Mein Koi Aaye Agar,
Usko Sapna Samajhkar Bhulaata Rahoon,
Aisi Bhakti Mahadev De Don Humen,
Raat Din Hum Bhajan Tere Gate Rahen ॥

Taar Aisa Jude Jo Na Toote Kabhi,
Duniya Roothe Magar Tu Na Ruthe Kabhi,
Jeete Ji Teri Chaukhat Na Chhoote Kabhi,
Jindagi Bhar Alakh Main Jagaata Rahoon,
Aisi Bhakti Mahadev De Don Humen,
Raat Din Hum Bhajan Tere Gate Rahen ॥

Hey Daya Aapki Jo Ye Darshan Diye,
Isase Jyada Bhala Aur Kya Chaahiye,
Teri Jhoothan Ke Do Kor Milte Rahe,
Bojh Jo Jindagi Ka Uthata Rahoon,
Aisi Bhakti Mahadev De Don Humen,
Raat Din Hum Bhajan Tere Gate Rahen ॥

Teri Laagi Jo Lau Vo Kabhi Na Bujhe,
Bhool Se Bhi Kabhi Na Main Bhuloon Tujhe,
Bhole Aisa Deewana Bana Do Mujhe,
Jaane Ke Baad Bhi Yaad Aata Rahoon,
Aisi Bhakti Mahadev De Don Humen,
Raat Din Hum Bhajan Tere Gate Rahen ॥

Aisi Bhakti Hey Shambhu De Do Mujhe,
Raat Din Main Bhajan Tere Gata Rahoon,
Jaisa Bhi Aye Gum Jindagi Mein Magar,
Do Vo Shakti Ki Main Muskurata Rahoon,
Aisi Bhakti Mahadev De Do Humen,
Raat Din Hum Bhajan Tere Gate Rahen ॥

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र
ऐसी भक्ति महादेव दे दो हमें - भजन - हिन्दी में पढ़ें
ऐसी भक्ति हे शम्भू दे दो मुझे, रात दिन मैं भजन तेरे गाता रहूं,जैसा भी आए ग़म जिंदगी में मगर, दो वो शक्ति की मैं मुस्कुराता रहूं, ऐसी भक्ति महादेव दे दो हमें, रात दिन हम भजन तेरे गाते रहें ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mukund Madhav Govind Bol Bhajan

Mukund Madhav Govind Bol । Keshav Madhav Hari Hari Bol

Indore Se Chalkar Aaya Hun Mere Baba

Indore Se Chalkar Aaya Hun, Mere Baba Tere Darshan Ke Liye, Ek Phool Gulab Ka laya Hun, Charnon Mein Tere Arpan Ke Liye ॥

Jay Mahesh Jay Mahadeva

Tere Dar Pe Aa To Gaya Hun, Raah Dikha De Mujhko kabil Kar De, Dukhiyan Pe Kirapa Karo Karun Teri Seva, Jay Mahesh Jay Mahadeva, Jay Mahesh Jay Mahadeva ॥