Apne Lala Ki Sun Lo Shikayat Jo Batane Ke Kabil Nahin Hai (अपने लाला की सुन लो शिकायत जो बताने के काबिल नहीं है - भजन)


Apne Lala Ki Sun Lo Shikayat,
Jo Batane Ke Kabil Nahin Hai,
Wo Jo Deta Hai Dard Ye Dil Ko,
Wo Dikhane Ke Kabil Nahi Hai,
Apne Lala Ki Sun Lo Shikayat,
Jo Batane Ke Kabil Nahin Hai ॥
Maiya Pahali Sikayat Hamari,
Panghat Pe Mile The Murari,
Ya Ne todi Gagariya Hamari,
Jal Bharne Ko Kabil Nahi Hai,
Apne Lala Ki Sun Lo Shikayat,
Jo Batane Ke Kabil Nahin Hai ॥

Maiya Dusri Sikayat Hamari,
Galiyon Mein Mile The Murari,
Va Ne Phadi Chunariya Hamari,
Odhane Ke Jo Kaabil Nahin Hai,
Apne Lala Ki Sun Lo Shikayat,
Jo Batane Ke Kabil Nahin Hai ॥

Maiya Tisari Shikayat Hamari,
Mahalon Mein Mile The Murari,
Ya Ne Todi Nathaniya Hamari,
Munh Dikhane Ke Kabil Nahin Hai,
Apne Lala Ki Sun Lo Shikayat,
Jo Batane Ke Kabil Nahin Hai ॥

Mere Laal Ko Pyar Se Bulati,
Makhan Misri Ka Bhog Lagati,
Ye To Praano Se Pyaara Kanhaiya,
Ye Shikaayat Ke Kabil Nahin Hai,
Apne Lala Ki Sun Lo Shikayat,
Jo Batane Ke Kabil Nahin Hai ॥

Apne Lala Ki Sun Lo Shikayat,
Jo Batane Ke Kabil Nahin Hai,
Wo Jo Deta Hai Dard Ye Dil Ko,
Wo Dikhane Ke Kabil Nahi Hai,
Apne Lala Ki Sun Lo Shikayat,
Jo Batane Ke Kabil Nahin Hai ॥
अपने लाला की सुन लो शिकायत जो बताने के काबिल नहीं है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
अपने लाला की सुन लो शिकायत, जो बताने के काबिल नहीं है, वो जो देता है दर्द ये दिल को, वो दिखाने के काबिल नहीं है, ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hari Nam Sumir Sukhdham Jagat Mein

Hari Nam Sumir Sukhdham, Hari Nam Sumir Sukhdham, Jagat Mein Jeevan Do Din Ka...

Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad

Kuch Nahin Bigdega Tera, Hari Sharan Aane Ke Baad । Har Khushi Mil Jayegi Tujhe..

Hari Hari Hari Sumiran Karo

Hari Hari, Hari Hari, Sumiran Karo, Hari Charnaravind Ur Dharo

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage, Lakhnva Nahi Jana Ki Ji Na Lage ॥

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein, Saja Dipo Ki Thali, Paap Ki Koi Bhag Nahi Hai, Chamake Dharm Ki Laali, Hue Dhanya Dhara Ye Avadha Ki, Aaye Jo Ram Ayodhya Mein ॥