Apne Premi Ko Mere Baba Itna Bhi Majboor Na Kar (अपने प्रेमी को मेरे बाबा, इतना भी मजबूर ना कर: भजन)


Apne Premi Ko Mere Baba,
Itna Bhi Majaboor Na Kar,
Tere Hote Jagvaalo Ke,
Aage Jhuk Jaye Na Sar,
Apne Premi Ko Meren Baba,
Itna Bhi Majboor Na Kar ॥
Chaukhat Pe Jis Din Se Kanhaiya,
Sir Ye Aake Jhuka Diya,
Swabhiman Se Jeena Jag Mein,
Tumne Humko Seekha Diya,
Jahan Vishwas Ke Deep Jagaye,
Wahan Nirasha Kyu Kare Asar,
Apne Premi Ko Meren Baba,
Itna Bhi Majaboor Na Kar ॥

Shyam Shyam Jo Kahakar Tumase,
Raat Din Hi Aas Karen,
Jag Walon Ko Kahate Phirte,
Shyam Kabhi Na Nirash Kare,
Phool Khile Jahan Shyam Naam Se,
Vo Gulshan Na Jaye Bikhar,
Apne Premi Ko Meren Baba,
Itna Bhi Majboor Na Kar ॥

Daani Hokar Kaise Kanhaiya,
Dena Sahara Bhool Rahe,
Jiska Sab Kuchh Tum Ho Kanhaiya,
Vo Kyu Phir Majboor Rahe,
‘Deepak’ Arji Tumse Baba,
Sudh Le Lo Tum Ab Aakar,
Apne Premi Ko Meren Baba,
Itna Bhi Majaboor Na Kar ॥

Apne Premi Ko Mere Baba,
Itna Bhi Majboor Na Kar,
Tere Hote Jagwalo Ke,
Aage Jhuk Jaye Na Sar,
Apne Premi Ko Meren Baba,
Itna Bhi Majaboor Na Kar ॥
अपने प्रेमी को मेरे बाबा, इतना भी मजबूर ना कर: भजन - हिन्दी में पढ़ें
अपने प्रेमी को मेरे बाबा, इतना भी मजबूर ना कर, तेरे होते जगवालो के, आगे झुक जाए ना सर, अपने प्रेमी को मेरें बाबा, इतना भी मजबूर ना कर ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Guru Meri Puja Guru Mera Parbrahma

Guru Meri Puja Guru Gobind, Guru Mera Parabrahm, Guru Bhagwant

Ghar Me Padharo Gajanan Ji

Ghar Mein Padharo Gajananji, Mere Ghar Mein Padharo, Riddhi Siddhi Leke Aao Ganaraja...

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...