Baba Mujhe Ye To Bata Koi Itna Bhi Deta Hai Kya (बाबा मुझे ये तो बता कोई इतना भी देता है क्या: भजन)


Baba Mujhe Ye to Bata,
Koi Itna Bhi Deta Hai Kya,
Diya Tune Jitna,
Tune Bana Di Hai Aukat,
Baba Tham Ke Mera Hath,
Diya Tune Jitna,
Diya Tune Jitna,
Baba Mujhen Ye to Bata,
Koi Itna Bhi Deta Hai Kya,
Diya Tune Jitna ॥
Jitna Main Pareshan Tha,
Utna Tu Meharban Tha,
Har Ik Qadamon Ka Mere,
Baba Tu Nigehbaan Tha,
Aane Na Di Koi Aanch,
Tune Bana Di Meri Baat,
Diya Tune Itna,
Tune Bana Di Hai Aukat,
Baba Tham Ke Mera Hath,
Diya Tune Jitna ॥

Jo Tujhse Mila Hai Mujhe,
Kya De Paunga Tujhe,
Tune Hi Jalaye Hai,
Deepak Jo the Mere Bujhe,
Jeevan Mein Ujala Tu,
Mera Rakhwala Tu,
Diya Tune Itna,
Tune Bana Di Hai Aukat,
Baba Tham Ke Mera Hath,
Diya Tune Jitna ॥

Baba Hai Daani Tu,
Aur Main Agyani Hoon,
Badle Duniya Saari,
Baba Na Badalna Tu,
Rahe Kripa Ka Sar Pe Hath,
Bhoolun Na Kabhi Main Ye Baat,
Diya Tune Itna,
Tune Bana Di Hai Aukat,
Baba Tham Ke Mera Hath,
Diya Tune Jitna ॥

Baba Mujhe Ye to Bata,
Koi Itna Bhi Deta Hai Kya,
Diya Tune Jitna,
Tune Bana Di Hai Aukat,
Baba Tham Ke Mera Hath,
Diya Tune Jitna,
Diya Tune Jitna,
Baba Mujhen Ye to Bata,
Koi Itna Bhi Deta Hai Kya,
Diya Tune Jitna ॥
बाबा मुझे ये तो बता कोई इतना भी देता है क्या: भजन - हिन्दी में पढ़ें
बाबा मुझे ये तो बता, कोई इतना भी देता है क्या, दिया तूने जितना ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Meri Vinti Suno Hanuman Sharan Teri Aaya Hun

Meri Vinati Suno Hanuman, Sharan Teri Aaya Hun, Aaya Hun Ji Aaya Hun, Sharan Teri Aaya Hun,
Pat Rakhna Daya Nidhan, Sharan Teri Aaya Hun, Meri Vinati Suno Hanuman, Sharan Teri Aaya Hun ॥

Japte Hai Ram Ki Mala Hanuman

Japte Hai Ram Ki Mala Mala, Ram Dulare Hanuman ॥