Bhawani Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo (भवानी मुझें दर पे बुलाती रहियो: भजन)


Bhawani Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo,
Maiya Ji Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo,
Bhawani Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo ॥
Ye Duniya Ek Bhul Bhuleya,
Chalna Mujhe Nahi Aaye Maiya,
Age Age Mere ChalKar,
Age Age Mere ChalKar,
Rah Dikhati Rahiye,
Maiya Ji Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo,
Bhawani Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo ॥

Tu To Hai Bigdi Banane Wali,
Sabki Bhul Bhulane Wali,
Bhul Koi Ho Jaye Mujhse,
Usko Bhulati Rahiye,
Maiya Ji Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo,
Bhawani Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo ॥

Paap Punya Mere Mat Dekho,
Kebal Apni Saran Mein Le Lo,
Abtak Kirpa Jese Lutae,
Abtak Kirpa Jese Lutae,
Wese Lutati Rahiye,
Maiya Ji Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo,
Bhawani Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo ॥

Janata Hai Ye To Jag Sara,
‘Ramakumar Lakhkha’ Hai Tumhara,
Kabhi Kabhi ‘Sharma’ Ke Ghar Par,
Kabhi Kabhi ‘Sharma’ Ke Ghar Par,
Bhi Tu Aati Rahiye,
Maiya Ji Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo,
Bhawani Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo ॥

Bhawani Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo,
Maiya Ji Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo,
Bhawani Mujhe Dar Pe Bulati Rahiyo ॥
भवानी मुझें दर पे बुलाती रहियो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ये दुनिया एक भूल भुलैया, चलना मुझे नहीं आए मैया, आगे आगे मेरे चलकर, आगे आगे मेरे चलकर, राह दिखाती रहियो, मैया जी मुझे दर पे बुलाती रहियो, भवानी मुझें दर पे बुलाती रहियो ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar

Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar Hathon Mein Phoolon Ka Dauna Bhi Sohe Sundar Gale Mein Sohe Haar

Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe

Shri Ram Bhajan Video: Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe, Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe...

Kanhaiya Le Chal Parli Paar

Kanhaiya Le Chal Parli Paar, Saawariya Le Chal Parli Paar, Jaha Birajo Meri Radha Rani, Albeli Sarkar ॥

Ram Charan Chit Lai Re Bhajo Radhe Govinda

Ram Charan Chit Lai Re, Bhajo Radhe Govinda, Bhaktan Ke Sukhdayi Re, Bhajo Radhe Govinda, Jab Maara Tab Tab Taara

Ram Nam Japte Raho, Jab Tak Ghat Ghat Me Ram

Ram Naam Japte Raho, Jab Tak Ghat Ghat Me Pran । Ram Bhajo, Ram Rato