Chadha Le Lota Jal BHar Ke (चढ़ा ले लोटा जल भर के - भजन )


Chadha Le Lota Jal Bhar Ke,
Tera Kalyan Ho Jaye,
Kantili Rah Jivan Ki,
Teri Aashan Ho Jaye,
Chadha Le Lota Jal Bhar Ke,
Tera Kalyan Ho Jaye ॥
Bade Bhole Mere Bhagban,
Na Duja Aapsa Dani,
Bina Soche Hi De Dete,
Na Duja Aapka Sani,
Sharan Mein Aa Bhi Ja Pure,
Tere Arman Ho Jaye,
Chadha Le Lota Jal Bhar Ke,
Tera Kalyan Ho Jaye ॥

Bana Sona Ya Chandi Ka,
Bhale Jalapatr Na Tera,
Agar Shraddha Se Ho Labalab,
Chadhe Kshan Maatr Mein Tera,
Tere Dukhade Mitane ka,
Bhagat Pharman Ho Jaye,
Chadha Le Lota Jal Bhar Ke,
Tera Kalyan Ho Jaye ॥

Bada Pyara Hai Jal Inko,
Hamesa Shish Par Dhare,
Tu Bhar Ke Bhav Ki Gagari,
Bhagat Chokhat Pe Aaja Re,
Hamesha ‘Harsh’ Khushiyon Ke,
Tere Din Maan Ho Jaye,
Chadha Le Lota Jal Bhar Ke,
Tera Kalyan Ho Jaye ॥

Chadha Le Lota Jal Bhar Ke,
Tera Kalyan Ho Jaye,
Kantili Rah Jivan Ki,
Teri Aashan Ho Jaye,
Chadha Le Lota Jal Bhar Ke,
Tera Kalyan Ho Jaye ॥
चढ़ा ले लोटा जल भर के - भजन - हिन्दी में पढ़ें
चढ़ा ले लोटा जल भर के, तेरा कल्याण हो जाए, कंटीली राह जीवन की, तेरी आसान हो जाए, चढ़ा ले लोटा जल भरके, तेरा कल्याण हो जाए ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Meri Vipda Taal Do Aakar

Meri Vipda Taal Do Aakar, Hey Jag Janani Mata, Sheron Wali Mata ॥

Woh Hai Jag Se Bemisal Sakhi

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Surat Badi Hain Pyari Maa Ki

Surat Badi Hain Pyari Maa Ki, Murat Ki Kya Baat Hai, Sar Par Sohe Mukut Sunhara, Trishul Chakra Bhi Haath Hai, Saj Dhaj Kar Bethi Hai Maiya, Ajab Nirali Thath Hai, Wah Wah Kya Baat Hai, Wah Wah Kya Baat Hai ॥

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...