Chahe Ram Bhajo Chahe Shyam (चाहे राम भजो चाहे श्याम - भजन)


Chahe Ram Bhajo Chahe Shyam,
Naam Donon Hitkari Hai,
Donon Hitkari Hai,
Vishnu Ji Ke Avtari Hai,
Chahe Ram Bhajon Chahe Shyam,
Naam Donon Hitkari Hai ॥
Ram Ji Jan Jan Ke Aadarsh,
Garv Kare Inpe Bharatvarsh,
Shyam Bajaye Bansuri,
Aur Rachaye Raas,
Brajmandal Se Vishwa Mein,
Pahunchi Krishn Suvaas,
Hare Krishna Hare Ram Ke Aganit,
Darash Bhikhari Hai,
Donon Hitkari Hai,
Vishnu Ji Ke Avtari Hai,
Chahe Ram Bhajon Chahe Shyam,
Naam Donon Hitkari Hai ॥

Shiv Ka Dhanush Tod,
Gathbandhan Jod,
Ram Ji Siya Ji Ka,
Varan Kar Laye the,
Dwarika Ke Raja Krishn,
Premika Ki Peeda Jaan,
Mandir Se Rukmani,
Haran Kar Laye the,
Ram Ne Paaran Kiya,
Ek Patnivrat,
Mithila Mein Diye Huye,
Vachan Nibhaye the,
Premmoorti Tyaagmoorti,
Sitaram Ji Ne Mil,
Shubh Din Door Din,
Sang Bitaye the,
Asuran Ko Dete Sharan,
Mohan Krishn Udaar,
Tabhi to Le Lee Sharan Mein,
Raaniyaan Solah Hajaar,
Ek Maryada Ke Palak,
Ek Prem Pujari Hai,
Donon Hitkari Hai,
Vishnu Ji Ke Avtari Hai,
Chahe Ram Bhajon Chahe Shyam,
Naam Donon Hitkari Hai ॥

Ram Raja Hai Deendayal,
Krishn Lala Hai Param Kripal,
Donon Rahate Hai Sada,
Neej Pran Ke Aadhin,
Durjan Ko Dandit Kare,
Sajjan Ko Swadhin,
Ram Shyam Ne,
Badi Badi Vipda,
Pal Mein Taali Hai,
Donon Hitkari Hai,
Vishnu Ji Ke Avtari Hai,
Chahe Ram Bhajon Chahe Shyam,
Naam Donon Hitkari Hai ॥

Chahe Ram Bhajo Chahe Shyam,
Naam Donon Hitkari Hai,
Donon Hitkari Hai,
Vishnu Ji Ke Avtari Hai,
Chahe Ram Bhajon Chahe Shyam,
Naam Donon Hitkari Hai ॥
चाहे राम भजो चाहे श्याम - भजन - हिन्दी में पढ़ें
चाहे राम भजो चाहे श्याम, नाम दोनों हितकारी है, दोनों हितकारी है, विष्णु जी के अवतारी है, चाहे राम भजों चाहे श्याम, नाम दोनों हितकारी है ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Bhajan: Ganga Behti Ho Kiyon

Kare Hahakar, Nihshabd Sada O Ganga Tum, Ganga Bahati Ho Kyun?

Chalo Man Ganga Yamuna Teer

Ganga Jamuna Nirmal Paani, Sheetal Hot Sharir, Chalo Man Ganga Jamuna Teer...

Ganga Ke Kinare Chale Jana

mitadi Hai Moorat, Jindi Ye Vani Hai, ganga Kinare Chale Jana, mudke Phir Nahin Aana

Shiv Ki Jata Se Barse Ganga Ki Dhar Hai

Shiv Ki Jata Se Barase, Ganga Ki Dhar Hai, Ganga Ki Dhar hai, Mahina Ye Sawan Ka Hai,
Chae Bahar Hai ॥