Chali Paniya Bharan Shiv Naar (चली पनिया भरन शिव नार - भजन)


Ithalati Hui Bal Khati Hui,
Chali Paniya Bharan Shiv Naar,
Sagar Se Utri Gagariya ॥
Roop Dekh Kar Sagar Bole,
Koun Pita Mahtari,
Koun Desh Ki Rahane Wale,
Koun Purush Ki Nari,
Bata De Koun Purush Ki Nari,
Hole Hole Gaura Bole,
Chaya Hai Roop Apar Re,
Sagar Se Utri Gagariya,
Ithalati Hue Bal Khati Hue,
Chali Paniyan Bharan Shiv Naar,
Sagar Se Utri Gagariya ॥

Raja Himachal Pita Hamare,
Mounabati Mahtari,
Shiv Shankar Hai Pita Humare,
Mein Unki Ghar Nari,
Samundar Mein Unki Ghar Nari,
Jal Le Jaun Piy Nahalaun,
Tu Sun Le Bachan Hamrar Re,
Sagar Se Utri Gagariya,
Ithalati Hue Bal Khati Hue,
Chali Paniyan Bharan Shiv Naar,
Sagar Se Utri Gagariya ॥

Kahe Samundar Chhod Bhole Ko,
Paas Hamare Aao,
Chaudah Ratn Chhupe Hai Mujhame,
Baithi Mauj Udao,
Girija Dekhi Mouj Udao,
Wo Hai Yogiya Pivat Bhangiya,
Kyon Sahati Kasht Apar Re,
Sagar Se Utri Gagariya,
Ithalati Hue Bal Khati Hue,
Chali Paniyan Bharan Shiv Naar,
Sagar Se Utri Gagariya ॥

Krodhit Hokar Chali Hai Gaura,
Paas Bhole Ke Aae,
Tumhare Rahate Take Samundar,
Sari Katha Sunae,
Bhole Ko Sari Katha Sunae,
Shiv Kiyo Jatan,
Sagar Ko Mathan,
Liyo Chaudah Ratan Nikaal Re,
Sagar Se Utri Gagariya,
Ithalati Hue Bal Khati Hue,
Chali Paniyan Bharan Shiv Naar,
Sagar Se Utri Gagariya ॥

Ithalati Hui Bal Khati Hui,
Chali Paniya Bharan Shiv Naar,
Sagar Se Utri Gagariya ॥
चली पनिया भरन शिव नार - भजन - हिन्दी में पढ़ें
इठलाती हुई बल खाती हुई, चली पनिया भरन शिव नार, सागर में उतारी गागरिया ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Chali Paniya Bharan Shiv Naar Video

By Debashish Dasgupta

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shyam Pyare Ki Hai Sarkar Hame Dar Kahe Ho

Shyam Pyare Ki Hai Sarakar, Hamen Dar Kahe Ko, Kahe Ko Dar Kahe Ko, Neele Vale Ki Hai Sarakar,
Hamen Dar Kahe Ko ॥

Shyam Eso Jiya Me Samay Gayo Ri

Shyam Aiso Jiya Mein, Samae Gayo Ri, Mere Tan Man Ki, Sudhbudh Bhulaay Gayo Ri ॥

Ladli Adbhut Nazara, Tere Barsane Me Hai

kishori le chal parli paar, radhike le chal parli paar, shyama chal parli paar...

Jeevan Hai Tere Hawale Muraliya Wale

Jeevan Hai Tere Havale, Muraliya Vale, Tere Hath Ki, Hum Kath Putli Tere Hath Ki, Chahe Jaise Nachale

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...