De De Thoda Pyar Maiya Tera Kya Ghat Jayega (दे दे थोड़ा प्यार मैया, तेरा क्या घट जायेगा - भजन)


De De Thoda Pyar Maiya,
Tera Kya Ghat Jayega,
Ye Balak Bhi Tar Jayega,
De De Thoda Pyar ॥
De Diya Tumne,
Sabko Sahara Maan,
Jo Dware Aaya Hai,
Bhar Diya Daman,
Uska Khushi Se Maan,
Jo Arji Laya Hai,
Mujhko Dene Se,
Mujhko Dene Se Khajana,
Kam Nahi Ho Jayega,
Ye Balak Bhi Tar Jayega
De De Thoda Pyar ॥

Hai Purana Maan,
Rishta Hamara Jo,
Use Tum Yaad Karo,
Karde Kripa O Maan,
Balak Tumhara Hoon,
Mere Sir Par Hath Dharo,
Pyaar Ka Rishta,
Pyaar Ka Rishta Hamara,
Tutne Na Payega,
Ye Balak Bhi Tar Jayega,
De De Thoda Pyar ॥

Kashti Meri Ye Maan,
Tere Hawale Hai,
Ise Tum Paar Karo,
Gar De Diya Mujhko,
Tune Kinara Maan,
To Ye Vishwas Karo,
Ye Tera Darbar,
Ye Tera Darbar Jai Jaikaro,
Se Gunj Jayega,
Ye Balak Bhi Tar Jayega,
De De Thoda Pyar ॥

De De Thoda Pyar Maiya,
Tera Kya Ghat Jayega,
Ye Balak Bhi Tar Jayega,
De De Thoda Pyar ॥
दे दे थोड़ा प्यार मैया, तेरा क्या घट जायेगा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
दे दे थोड़ा प्यार मैया, तेरा क्या घट जायेगा, ये बालक भी तर जायेगा...
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanLakhbir Singh BhajanLakkha Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Shyam Nazare Dekh Lo Ab Khol Ke

Shyam Nazaren Dekh Lo, Ab Khol Ke, Charanon Mein Rakha Kaleja, Khol Ke, Shyam Nazaren Dekh Lo, Ab Khol Ke ॥

O Lagi Lagi Re Preet Thasu Sawariya Sarkar

O Lagi Lagi Re Preet, Thasu Sanwariya Sarakar, Ban Ke Deewani Main To Nachungi,
Sanwara Deewani Main To Nachungi, O Lagi Lagi Re Preet, Thasu Sanwariya Sarakar ॥